Faizan-E-Farz Uloom Course Ep 44 - Qurbani Kay Masail
Sahaba kiram عَلَیْہِمُ الرِّضْوَان ne Sarkar صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ ki bargah me arz ki k ye Qurbaniyan kya hen tu irshad farmaya ye tumharey Baap Hazrat e Ibrahim عَلَیْہِ السَّلَام ki sunnat hy. Farman e Mustafa صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ jo taqat k bawajud qurbani na karey wo hamari Eid Gah k qareeb tak na aye. Sharai iytebar se makhsoos janwar ko makhsoos din me makhsoos waqt me Allah ki bargah me qurb hasil karney ya neki ki niyat se zibah karna Qurbani kehlata hy. Qurbani ka sabab waqt paya jana hy or iska waqt daswein zulhijja k suraj nikalney se ley kar barwein k suraj guroob honey tak hy.
Comments