تذکرہ امام احمد رضا خان
Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan
TAZKIRAH IMAM AHMAD RAZA KHAN
Ye Risala Shaykh-e-Tareeqat Ameer-e-Ahl-e-Sunnat Bani-e-Dawat-e-Islami, Hazrat Allamah Maulana Abu Bilal Muhammad Ilyas Attar Qaadiri Razavi دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ nay tahreer farmaya hay, Majlis-e-Tarajim nay is ko Roman-Urdu mayn compose kiya hay. Agar is mayn koi kami-bayshi payen to Majlis-e-Tarajim ko aagah kar key Sawab kay haqdar baniye.
Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)
Aalami Madani Markaz, Faizan-e-Madinah, Mahallah Saudagran,
Purani Sabzi Mandi, Bab-ul-Madinah, Karachi, Pakistan
UAN: +92-21-111-25-26-92 – Ext. 7213
Email: translation@dawateislami.net
اَلۡـحَـمۡـدُ لِـلّٰـہِ رَبِّ الۡـعٰـلَـمِیۡنَ وَ الـصَّـلٰـوۃُ وَ الـسَّـلَامُ عَـلٰی سَـیِّـدِ الۡـمُـرۡ سَـلِـیۡنَ
اَمَّـا بَــعۡـدُ فَـاَعُـوۡذُ بِـا لـلّٰـہِ مِـنَ الـشَّـیۡـطٰنِ الـرَّجِیۡمِ ؕ بِـسۡمِ الـلّٰـہِ الـرَّحۡـمٰنِ الـرَّحِـیۡمِؕ
Kitab Parhnay ki Du’a
Deeni Kitab ya Islami sabaq parhnay say pehlay zail mayn di hu’i Du’a parh lijiye اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ jo kuch parhayn gey yaad rahay ga. Du’a ye hay:
اَللّٰهُمَّ افۡتَحۡ عَلَيۡنَا حِكۡمَتَكَ وَانۡشُرۡ
عَلَيۡنَا رَحۡمَتَكَ يَـا ذَا الۡجَلَالِ وَالۡاِكۡرَام
Tarjuma
Ay Allah عَزَّوَجَلَّ hum per ‘Ilm-o-hikmat kay darwazay khol day aur hum par apni rahmat nazil farma! Ay Azmat aur Buzurgi walay!
(Al-Mustatraf, jild. 1, safha. 40)
Note: Awwal aakhir ayk ayk bar Durood-e-Pak parh layn.
اَلۡـحَـمۡـدُ لِـلّٰـہِ رَبِّ الۡـعٰـلَـمِیۡنَ وَ الـصَّـلٰـوۃُ وَ الـسَّـلَامُ عَـلٰی سَـیِّـدِ الۡـمُـرۡ سَـلِـیۡنَ
اَمَّـا بَــعۡـدُ فَـاَعُـوۡذُ بِـا لـلّٰـہِ مِـنَ الـشَّـیۡـطٰنِ الـرَّجِیۡمِ ؕ بِـسۡمِ الـلّٰـہِ الـرَّحۡـمٰنِ الـرَّحِـیۡمِؕ
Tazkirah Imam Ahmad Raza Khan
Shaytan laakh susti dilaey magar ye risala Ba-niyyat-e-Sawab ye risala pura parh ker apni dunya-o-aakhirat ka bhala kijiye.
Rahmat-e-A’lam, Noor-e-Mujassam, Shah-e-Bani Adam, Shafi’e-Umam, Rasool-e-Akram صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman-e-Shafa’at nishan hay: ‘Jo Mujh per durood-e-pak parhay ga Mayn uski shafa’at farmaon ga.’ (Al-qool-ul-badi’e safha 261 Musasat-ul-riyan berot)
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Mayray Aaqa A’la Hazrat, Imam-e-Ahl-e-Sunnat, Wali-e-Na’mat, Azeem-ul-Barakat, A’zeem-ul-Martabat, Parwana-e-Sham-e-Risalat, Mujaddid-e-Deen-o-Milat, Hami-e-Sunnat, Mahi-e-Bid’at, A’alim-e-Shari’at, Bais-e-Khayr-o-Barakat, Hazrat ‘Allamah Maulana Al-Haj Al-Hafiz Al-Qaari Shah Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki wiladat-e-ba-sa’adat Berayli Shareef kay mahallah Jasauli mayn 10 Shawwal-ul-Mukarram 1272 Hijri Baroz hafta ba-waqt-e-zuhr mutabiq 14 June 1856 ko hui. San-e-Paydaish kay a’tibar say aap ka naam Al-Mukhtar (1272 Hijri) hay. (Hayat-e-A’ala Hazrat, jild 1, safha 58, Maktaba-tul-Madinah Bab-ul-Madinah Karachi)
Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay apna san-e-wiladat parah 28 Surat-ul-Mujadalah ki aayat number 22 say nikala hay. Is A’yat-e-karimah kay Ilm-e-Abjad kay ay’tibar kay mutabiq 1272 a’dad hayn our hijri saal kay hisab say yahi apka san-e-wiladat hay. Chuna-chay Maktabat-ul-Madinah ki Matbu’a ‘Malfuzaat-e-A’la Hazrat’ safha 410 per hay: Wiladat ki tareekhon ka zikar tha aur is per (Sayyadi A’la Hazrat
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه) nay irshad farmaya: بِحَمۡدِ اللّٰه تَعالٰي mayri wiladat ki tareekh is aayat-e-karimah mayn hay:
اُولٰٓئِکَ کَتَبَ فِیۡ قُلُوۡبِہِمُ الۡاِیۡمَانَ وَ اَیَّدَہُمۡ بِرُوۡحٍ مِّنۡہُ ؕ
Tarjama-e-Kanz-ul-Imaan: Ye hayn jin kay dilon may Allah nay imaan naqsh farma diya aur apni taraf ki rooh say un ki madad ki.
Aap ka Naam-e-Mubarak Muhammad hay aur Aap kay dada nay Ahmad Raza kah ker pukara aur isi naam say mashhor huway.
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
‘Umuman her zamanay kay bachon ka wohi haal hota hay jo aaj kal bachon ka hay kay saat (7) aath (8) saal tak to unhayn kisi baat ka hosh nahin hota aur na hi woh kisi baat ki tayh tak puhanch saktay hayn, Magar A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka bachpan bari ahmiyat ka hamil tha. Kam sini, khurdsaali (ya’ni bachpan) aur kam ‘umari mayn hosh mandi aur quwwat-e-hafizah ka ye ‘aalam tha kay sarhay chaar saal ki nanhi si ‘umar mayn Quran-e-Majeed nazirah mukammal parhnay ki nay’mat say bariyab ho gaey.
Chhay Saal kay thay kay Rabi-ul-Awwal kay Mubarak mahinay mayn mumber per jalwa-afroz ho ker Milad-un-Nabi
صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay muzu’ per ayk buhut baray ijtima’ mayn nihayat pur-maghz takreer farma ker ‘Ulama-e-Kiraam aur Mashaykh-e-‘Izaam say tehseen-o-aafreen ki daad wusool ki. Isi ‘umar mayn Aap nay Baghdad Shareef kay baray mayn simt ma’loom kar li phir tadam-e-Hayat baldah-e-mubarika Ghaus-e-A’zam رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه (ya’ni Ghaus-e-A’zam kay Mubarak shahar) ki taraf pa’aon na phaylaye. Namaz say to Ishq ki had tak lagao tha chuna-chay Namaz-e-panjgana ba-jama’at takbeer-e-Aula ka tahaffuz kartay huway masjid mayn ja ker ada farmaya kartay, jab kabhi kisi khatoon ka saamina hota to furan nazrayn neechi kartay huway sar jhuka liya kartay, goya kay Sunnat-e-Mustafa عَلَيه التَّحِيَّةُ وَالثَّناء ka Ap per ghalaba tha jis ka izhar kartay huway Huzoor Pur Noor صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki khidmat A’aliya mayn youn Salaam paysh kartay hayn:
Neechi aankhon ki sharam-o-haya per durood
Unchi beeni ki rif’at pay lakhon salaam
(Hadaiq-e-Bakhshish Shareef)
A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay larakpan mayn takwa ko is qadar apna liya tha kay chaltay waqt qadmon ki Aahat tak sunna’i na dayti thi. Saat saal kay thay kay Mah-e-Ramazan-ul-Mubarak mayn rozay rakhnay shuru’ ker diye.
(Deba cha Fatawa-e-Razawiyyah, jild 30, safha 16)
Janab-e-Sayyid Ayub Ali Shah Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay bachpan mayn Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko ghar per ayk Maulvi Sahib Quran-e-Majeed parhanay aaya kartay thay. Ayk roz ka zikar hay kay Maulvi Sahib kisi Aayat-e-Karimah mayn bar bar ayk lafz Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko batatay thay magar Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki zaban Mubarak say nahin nikalta tha woh ‘Zabar’ batatay thay Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ‘Zayr’ parhtay thay ye kayfiyat jab Aap
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay Dada Jan Hazrat Raza Ali Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Sahib nay daykhi to Huzoor (Ya’ni A’la Hazrat) ko apnay pas bulaya aur Kalam-e-Pak mangwa ker daykha to us mayn katib nay galti say zayr ki jagah zabar likh diya tha, ya’ni jo A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki zaban say nikalta tha woh sahih tha. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay Dada nay pucha kay baytay jis tarah Maulvi Sahib parhatay thay tum usi tarah kiyun nahin parhtay thay? Arz ki: Mayn iradah karta tha magar zaban per qabo na pata tha.
A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه khud farmatay thay kay mayray ustad jin say Mayn ibtada’i kitab parhta tha, jab mujhay sabaq parha diya kartay, ayk do martabah mayn daykh ker kitab band ker dayta, jab sabaq suntay to haraf ba-haraf lafz ba-lafz sunna dayta. Rozanah ye halat daykh ker sakht ta’jub kartay. Ayk din mujh say farmanay lagay kay Ahmad Miyan! Yeh to kaho Admi ho ya Jinn? kay mujh ko parhatay dayr lagti hay magar tum ko yad kartay dayr nahin lagti! Aap nay farmaya kay Allah عَزَّوَجَلَّ ka sukar hay mayn insaan hi hon haan Allah عَزَّوَجَلَّ ka Fazul-o-Karam shamil-e-Haal hay. (Hayat-e-A’la Hazrat, jild 1 safha 68)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay sirf tayrah (13) saal dus (10) mah chaar (4) din ki ‘umar mayn tamam Murawajah ‘uloom ki takmeel apnay Walid Majid Raees-ul-Mutakallimeen Maulana Naqi Ali Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه say ker kay sanad-e-faraghat hasil ker li. Usi din Aap رَحْمَةُ
اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay ayk suwal kay jawab mayn pehla fatwa tahreer farmaya tha. Fatwa sahi paa ker Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay Walid-e-Majid nay Masnad-e-Ifta Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay supurd ker di aur aakhir waqt tak fatwa tahreer farmatay rahay. (Aidan, safha 279)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Allah Ta’ala nay A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko bay-andazah ‘uloom jalila say nawaza tha. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay kamo-baysh pachas (50) ‘uloom mayn qalam uthaya aur qabil-e-qadar kutub tasneef farmayn. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko her fun mayn qafi dastaras hasil thi. ‘Ilm-e-tauqeet mayn is qadar kamal hasil tha kay din ko suraj aur raat ko sitaray daykh ker ghari mila laytay. Waqt bilkul sahih hota aur kabhi ayk minute ka bhi farq na huwa. ‘Ilm-e-Riyazi mayn Aap yagana-e-rozgar thay. Chuna-chay Ali-Garh University kay Voice Chanceller Doctor Ziya-u-din jo kay riyazi mayn gayr mulki degreeyan aur tamgha-jaat hasil kiye huway thay. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki khidmat mayn riyazi ka ayk mas’ala puchnay aaey. Irshad huwa: Farma’iye! Unhon nay kaha: Woh aysa mas’ala nahin jaysay itni aasani say arz karon. A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay farmaya: Kuch to farma’iye.
Voice Chanceller Sahib nay suwal paysh kiya to A’la Hazrat
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay usi waqt is ka tashaffi bakhsh jawab day diya. Unhon nay intaha’i hayrat say kaha kay mayn is mas’alay kay liye German jana chahta tha ittifakan hamaray Deeniyat kay Professor Maulana Sayyid Sulayman Ashraf Sahib nay mayri Rahnuma’i farmai aur mayn yahan hazir ho gaya. Youn Ma’loom hota hay kay Aap isi mas’alay ko kitaab mayn daykh rahay thay. Doctor Sahib Ba-sad farhat-o-Musarrat wapas tashreef lay gaey aur Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki shakhsiyat say is qadar Mutassir huway kay darhi rakh li aur Sawm-o-Salat kay paband ho gaey. (Aidan, safha 223-229)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
‘Ilawah azeen Mayray Aaqa A’la Hazrat ‘Ilm-e-Takseer, ‘Ilm-e-Hai’at, ‘Ilm-e-Jafar wagherah mayn bhi qafi maharat rakhtay thay.
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Hazrat Abu-Hamid Sayyid Muhammad Muhaddis Kachochhwi رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay jab Dar-ul-Ifta mayn kaam karnay kay silsilay mayn mayra Berayli Shareef mayn qiyam tha to raat din aysay waqi’at samnay aatay thay kay A’la Hazrat ki hazir jawabi say log hayran ho jatay. Un ki hazir jawabiyon mayn hayrat mayn daal daynay walay waqi’at woh ‘ilmi hazir jawabi thi jis ki misal suni bhi nahin ga’ie. Maslan Istifta (Suwal) Aaya, Dar-ul-Ifta mayn kaam karnay walon nay parha aur aysa ma’loom huwa kay na’e qisim ka hadisa daryaft kiya gaya (ya’ni na’e qisim ka mua’mila paysh aaya hay) aur jab jawab juziyya ki shakal mayn na mil sakay ga Fuqaha-e-Kiraam kay usool-e-A’mma say istinbat karna paray ga. (ya’ni fuqaha-e-kiraam رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ الـسَّلَام kay bataey huway usolon say mas’ala nikalna paray ga). A’la Hazrat ki khidmat may hazir huway, Arz kiya: ‘Ajab naey naey qisim kay suwalat aa rahay hayn! Ab hum log kiya tareeqah ikhtiyar karayn? Farmaya: ye to bara purana suwal hay. Ibn-e-Humam nay ‘Fatah-ul-Qadeer’ kay fulan safhay mayn, Ibn-e-‘Aabideen nay ‘Rad-ul-Muhtar’ ki fulan jild aur fulan safha per (likha hay). ‘Fatawa-e-Hindiya’ mayn ‘Khayriyyah’ mayn ye ye ‘ibarat saaf saaf mujood hay ab jo kitabon ko khola to safha, satr aur bata’i gaie ‘ibarat mayn ayk nuqtay ka farq nahin. Is Khuda-dad Fazul-o-Kamaal nay ‘Ulama ko hamaysha hayrat mayn rakha.
(Hayat-e-A’la Hazrat, jild. 1, safha. 210)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
Kis tarah itnay ‘ilm kay darya baha diye
‘Ulama-e-haq ki ‘aqul to hayran hay aaj bhi
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
Janab Sayyid Ayub Ali Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka bayan hay kay ayk roz A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay irshad farmaya kay baaz na-waqif hazraat mayray naam kay aagay Hafiz likh diya kartay hayn, halankay mayn is laqab ka ahal nahin hon. Sayyid Ayub Ali Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay isi roz say dour shuru’ ker diya jis ka waqt ghaliban ‘Isha ka wuzu farmanay kay ba’ad say jama’at qaim honay tak makhsos tha. Rozana ayk para yad farma liya kartay thay, yahan tak kay teesven roz teesvan para yad farma liya.
Ayk Muqa’y per farmaya kay mayn nay kalam-e-Pak bil-tarteeb ba-koshish yaad kar liya aur ye is liye kay in bandgan-e-Khuda ka (jo mayray naam kay aagay hafiz likh diya kartay hayn) kehna ghalat sabit na ho. (Aidan, safha 208)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamhari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد