Hajj kay Asbab Aqa Bana Do

Hajj kay Asbab Aqa Bana Do

Hajj kay asbab Aqa bana do

Mujh ko meetha Madinah dikha do

Muzdah-e-jan fiza ab suna do

So`ee taqdeer mayri jaga do

Apnay jalway nazar mayn basa do

Mayra seenah Madinah bana do

Hajj karoon phir Madinay mayn aoon

Yeh sharaf Ya Habib-e-Khuda do

Jhoom ker gird-e-Ka‘bah phiroon phir

Yeh sa’adat Khuda say dila do

Apnay mihrab-o-mimber ka, dar ka

Sabz Gumbad ka jalwah dikha do

Khoob Makkay ki galiyaun mayn ghoomun

Phir Mina ki baharayn dikha do

Mujh ko ‘Arafat kay phir manazir

Az-pa`ay Ghaus-e-A’zam dikha do

Hijr-e-Taybah mayn jo khoob ro`ayn [روئیں]

Aysi ankhayn pa`ay Murtaza do

Gham Madinay ka aur bay-qarari

Az-pa`ay Shah-e-Karb-o-Bala do

Aakhiri din mayri ‘umr kay hayn

Mayra maskan Madinah bana do

Kash! Qadmaun mayn aaye mujhay maut

Mayra madfan Madinah bana do

Dam [دَم] nikalnay ki jan-sauz ghariyan

Aa ga`een, aa kay Kalimah perha do

Mayri mayyit pay Shah-e-Madinah!

Apni rahmat ki chadar urha do

Ho Baqi’-e-mubarak mayn tadfeen

Yeh sharaf az-pa`ay Fatimah do

Qabr mayn ghup [گُھپ] andhayra hay chhaya [چھایا]

Aa kay Mah-e-Arab! Jagmaga do

Germi-e-Hashr say muztarib hoon

Jaam-e-Kawsar Khudara pila do

Ho gunahgar per chashm-e-rahmat

Apnay Allah say bakhshwa do

Ah! Dozakh ka haqdar hoon mayn

Rab ki rahmat say Jannat dila do

Do shifa her badi [بَدِی] kay maraz say

Naykiyan kernay wala bana do

Saaray ruhani jismani amraaz

Door haun, sehat-e-kamilah [کامِلہ] do

Mayray gham rahataun say badal ker

Dil ki murjha`ee kaliyan khila do

Ho sada Rab ki rahmat ka sayah

Ya Nabi! Tum mujhay yeh Du’a do

Bolta hoon bohat, tum zaban ka

Mujh ko Qufl-e-Madinah Shaha do

Nazrayn jhukti nahin hayn, nazar ka

Mujh ko Qufl-e-Madinah Shaha do

Hajj karay her baras kash! ‘Attar

Yeh sa’adat Rasool-e-Khuda do

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه

1st Jumadal Ukhra 1440 AH (February 06, 2019)


Share

Articles

Comments


Security Code