Buri Sohabat Ka Wabal

Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

mushawarat ki rukun honay ki haysiyat say Sunnaton ka parchaar kar rahi hayn. Allah عَزَّوَجَلَّ say du`a hay keh wo unhayn apni zimadari ka haq ada karnay ki taufeeq ata farmaye aur un ki bay hisab maghfirat farmaye.

اٰمِــيْن بِـجَـاهِ الـنَّـبِـیِّ الْاَمِــيْن صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Isi mahool nay adna ko a`ala kar diya daykho

Andhayra hi andhayra tha ujala kar diya daykho

Meethi meethi islami behno! Buri suhbat mayn chaahay bari mubtala ho ya chhoti usay us kay nuqsanat zaroor pahunchatay hayn magar baron kay muqabalay mayn bacchon kay haq mayn  buri suhbat intehai khatarnaak sabit hoti hay kion kay unhayn kam `umri mayn acchay buray ki tameez nahin hoti, agar bachpan hi say un ki Madani tarbiyyat na ki jaye to yeh baray ho kar awarah, ziddi, sood khoor, rishwat khoor, bad mazhab, bay namazi, juwari, sharabi, bay haya, fayshan parast, filmon aur daramon kay shaydai, maan bap kay na farmaan aur na janay kaysi kaysi buri khaslaton kay `aadi ban jatay hayn aur walidayn-o-khandaan ka naam bad naam kartay hayn. Lihaza walidayn ko chahiye kay wo apnay bacchon ki behter t`aleem kay sath sath Madani tarbiyyat kay liye bhi waqt nikalayn aur waqtan fawaqtan unhayn acchi suhbat kay fawayd aur buray dooston ki suhbat kay nuqsanaat bata kar un ki dunya-o-aakhirat sanwarnay aur unhayn mu`aashray ka mu`azziz fard banany mayn apna kirdar ada karayn. Jaysa kay ayk samjhdaar baap ko jab apnay bachay kay buri suhbat mayn mubtala honay ka`ilm howa to us nay laparwahi ka muzaharah karnay ki bajaye usay kis tarah samjhanay ki koshish ki.  Aaiye! Is say muta`alliq ayk Hikayat sunye aur Naseehat kay Madani phool chun kar `amal ki koshish bhi kejiye. Chunachay

Buri suhbat ka asar

Nayk gharanay ka ayk Madani munna buray dooston ki suhbat mayn uthnay baythanay laga. Us kay walid sahib ko ye baat pata chali to unhon nay usay samjhaya keh buron ki suhbat tumhayn bhi kahin bura na bana day. Us nay ye keh kar taal diya keh abu jaan! Aap fikar na kejiye mayn un jaysa nahin banon ga. Walid muhtaram nay apnay baytay ko `amali taor par samjhanay ka iradah kar liya aur ayk din ghar mayn bahut sary aalo bukharay(Prunes) lay