Buri Sohabat Ka Wabal

Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

Bay charay ko `Aashiqan-e-Rasool ki suhbat miltay miltay reh gaye, nateejah wo buray doston kay hathay charh gaya aur sharabi ban gaya. Ab us kay walid sahib ko apni ghalti ka ihsas howa us nay usi `Aashiq-e-Rasool ko darkhwast ki, is ko qaflay mayn lay jao kay khayn is ki sharab ki lat chhotay. Us naojawan par dubarah Infiradi koshish ki gaye magar cho`n keh pani sar say ouncha ho chuka tha yani bay charah bahut ziyadah bigar chuka tha lihazah kisi sorat Madani qaflay mayn safar kay liye amadah na howa. Isi tarah Shaikh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ  Ko ap ki bari behan nay bataya keh ayk Islami behan nay ro ro kar du`a kay liye kaha hay keh meray baytay ki Islah kay liye du`a karayn, haye! Haye! Mayn nay khud hi us ko barbad kiya hay, us ko Dawat-e-Islami kay Madrasa-tul-Madina mayn hifz kay liye dakhil to karwa diya magar bay charah jo Sunnatayn waghayrah seekh kar ata wo ghar maynbayan kar dayta to ghar walay us ka mazaq uratay. Aakhir us ka dil toot gaya aur us nay Madras-tul-Madina chhor diya. Ab buray doston ki suhbat mayn reh kar awarah ho gaya, ittefaq say mujhay Dawat-e-Islami ka Madani mahool mil gaya hay ab mayn sakht pachhta rahi hon, haye mera kiya banay ga!

Suhbat e Saalih tura laalih kunand

Suhbat taalih tura taalih kunand

(Y`ani achhon ki suhbat tujhay achha bana day gi aur buron ki suhbat tujhay bura bana day gi )

Kitab “Achhay Mahool Ki Barkayn” ka ta’aruf

Meethi meethi islami behno! Suna ap nay kay jo walidayn apnay bachhon ko achhi suhbat ki barkaton say mahroom rakhtay hayn to unhen apnay kiye par kis qadar hasrat o nadamat ka samna karna parta hay, agar walidayn apnay ap ko Madani Mahool say wabastah rakhen aur apnay bachhon ki tarbiyat karen to yahi aulad na sirf dunaya mayn in ki aankhon ki thandak banay gi balkay najat e aakhirat ka zaree’ah bhi ban sakti hay. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ  Makataba-tul-Madinah nay achhi suhbaton ka faizan ‘aam karnay aur buri suhbaton kay wabal say Ummat ko bachanay kay liye ayk kitab ba-naam “Achay Mahool Ki Barkaten” shaa’i ki hay. Is kitab mayn Aayaat e Mubarakah aur Ahadees e Tayyibah aur Buzurgan e Deen رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ تَـعَالٰی kay aqwaal ki roshni mayn achhay, buray mahool ki pahchan, achhay mahool kay fawaaid aur