Hamd/Na’at/Jashn-e-Wiladat

 

Ya Rab mayray dil mayn hay tamanna-e-Madinah

In ankhaun say dikhla mujhay sahra-e-Madinah

Niklay na kabhi dil say tamanna-e-Madinah

Sar mayn rahay Ya Rab mayray sauda-e-Madinah

Aysa Mayri nazron mayn sama jaye Madinah

Jab aankh uthaoon to nazar aye Madinah

Is derjah hayn mushtaq-e-ziyarat mayri ankhayn

Dil say yeh nikalti hay sada haye Madinah

Sar ‘Arsh ka kham hay tayray rauzay kay maqabil

Aflaak say aoonchay hayn maka-nahaaye Madinah

Kyun gaur ka khatka ho qiyamat ka ho kya gham

Shayda-e-Madinah haun mayn shayda-e-Madinah

Bulwa kay Madinay mayn Jameel-e-Razavi ko

Sag apna bana lo isay Maula-e-Madinah

                                      (Qabala-e-Bakhshish, pp. 131)

 


 

 


Share

Hamd/Na’at/Jashn-e-Wiladat

Na’at / Istighaasah

Aamad Aamad Hay

By: Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi

 

Machi hay dhoom Payamber ki aamad aamad hay

Habib-e-Khaliq-e-Akbar ki aamad aamad hay

Kiya hay sabz ‘alam nasb baam-e-Ka’bah per

Kay dau jahan kay Sarwar ki aamad aamad hay

Na Kyun ho noor say tabdeel Kufr ki zulmat

Khuda kay mah-e-munawwar ki aamad aamad hay

Hay Jibra`eel ko hukm-e-Khuda khabar ker do

Kay aaj Haq kay Payamber ki aamad aamad hay

Khushi kay josh mayn hayn bulbulayn bhi naghmah-kuna

Chaman mayn aaj Gul-e-Ter ki aamad aamad hay

Dau-zaano ho kay adab say perho Salat-o-Salam

‘Azeezo khalq kay Masder ki aamad aamad hay

Jameel-e-Qaadiri keh day kharay haun ahl-e-Sunan

Hamaray Haami-o-Yaawar ki aamad aamad hay

(Qabala-e-Bakhshish, pp. 182)


 

 


Share

Hamd/Na’at/Jashn-e-Wiladat

Jashn-e-Wiladat

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat

 

Sarkar ki aamad Marhaba

Sardar ki aamad Marhaba

Salaar ki aamad Marhaba

Mukhtar ki aamad Marhaba

Ghamkhuwar ki aamad Marhaba

Tajdar ki aamad Marhaba

Shaheryar ki aamad Marhaba

Aqa ki aamad Marhaba

Daata ki aamad Marhaba

Maula ki aamad Marhaba

Pur-Noor ki aamad Marhaba

Ghayoor ki aamad Marhaba

Achchay ki aamad Marhaba

Sachchay ki aamad Marhaba

Aqa-e-‘Attar ki aamad Marhaba

(Wasail-e-Bakhshish, pp. 518)


Share

Articles

Comments


Security Code