Book Name:Maktoob e Attar
behtar bhi hoga aur ziyada bhi. Hadees bilkul apni zahiri ma’na per hay, waqa’i us waqt roza daar ki haddi aur jorr balkay rag rag tasbeeh (ya’ni Allah عَزَّوَجَلَّ ki paaki bayan) karti hay, jis ka roza daar ko pata nahin hota mager Sarkar-e-Madinah صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم suntay hayn. (Mirat, jild 3, safha 202)
Mutala’a ker liya ho tab bhi donu risalay (i) “Kafan ki Wapsi ma’ Rajab ki Baharayn” aur (ii) “Aaqa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka Mahinah” parh li-jiye. Neez her saal Sha’ban-ul-Mu’azzam mayn Faizan-e-Sunnat jild awwal ka baab “Faizan-e-Ramzan” bhi zarur parh liya karayn. Ho sakay tou Eid-e-Mai’raj-un-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki nisbat say 27 ya 127 risalay ya hasb-e-toufeeq Faizan-e-Ramzan bhi taqseem farmaiye aur dhayron dhayr Sawab kamaiye, tamam Islami bhaiyon say bil umoom aur Jami’at-ul-Madinah aur Madaris-ul-Madinah kay jumla Qaari Sahiban, Asatizah, Nazimeen aur Talaba ki khidmaton mayn bil-khusus tarapti huwi Madani ‘arz hay kay bara-e-karam! (Mayray jeetay jee aur marnay kay ba’ad bhi) Zakaat, Fitrah, Qurbani ki khaalayn aur digar ‘attiyat jam’a karnay mayn barrh charrh ker hissa liya ki-jiye. (Islami behnayn digar Islami behno aur maharim ko ‘attiyat ki targheeb dilayn) Khuda ki Qasam! Mujhay un asatizah aur talabah kay baray mayn sun ker bohat khushi hoti hay jo apnay gaoun ya shehr mayn janay ki khuwahish ko qurban ker kay Ramzan-ul-Mubarak jami’at mayn guzaartay aur apni Majlis ki hidayat kay mutabiq chanday kay bastoun per zima-dariyan sambhaltay hayn, jo asatizah ya