Book Name:Maktoob e Attar
talabah bighayr kisi uzur kay ya mahaz susti ya ghaflat kay ba’is adam dil chaspi ka muzahira kartay hain unki wajah say mayra dil rota hay.
Khususi Madani Phool: Jo bhi Islami bhai ya Islam behen chanda ikatha karna chahtay hayn unhayn chanday kay zaruri ahkaam maloom hona farz hay her aik ki khidmat mayn taakeed hay kay agar parh chukay hayn tab bhi Dawat-e-Islami kay isha’ati idaray Maktabat-ul-Madina ki mtbu’a 107 safhat per mushtamil kitab, “Chanday kay baray mayn Sawal Jawab” ka dubara mutala’a farma li-jiye.
Ya Allah Ramzan-ul-Mubarak mayn chanday aur Baqra Eid mayn khaalon kay liye koshish ker kay jo ‘Aashiqan-e-Rasool mayra dil khush kartay hayn, tu un say hamaysha kay liye khush ho ja aur in kay sadqay mujh papi-o-badkar, gunahgaron kay sardar say bhi sada kay liye raazi ho ja, Ya Allah عَزَّوَجَلَّ jo Islami bhai aur jo Islami behen (uzar na honay ki soorat mayn) her saal 3 mah kay rozay rakhnay aur her baras aur her baras Jumad-ul-Ukhra mayn risala “Kafan ki Wapsi) aur Mah-e-Rajab-ul-Murajjab mayn “Aaqa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka Mahinah” aur Sha’ban-ul-Mu’azzam mayn “Faizan-e-Ramzan” (mukamal) parrh ya sun laynay ki sa’adat haasil karay mujhay aur usko dunya aur aakhirat ki bhalaiyan naseeb farma aur hamayn bay-