Book Name:Maktoob e Attar
اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ! Ayk bar phir khushi kay din anay lagay, Mah-e-Rajab-ul-Murajjab ki amad hay. Is Mah-e-Mubarak mayn ‘ibadat ka beej boya jata, Sha’ban-ul-Mu’azzam mayn nidamat kay ashkon say aab-pashi ki jati aur Mah-e-Ramzan-ul-Mubarak mayn rahmat ki fasal kaati jati hay.
Rajab kay ibtida’i 3 rozon ki fazeelat
Rajab-ul-Murajjab kay qadar-dano! Ta’leem-o-Ta’lum (ya’ni sikhnay aur sikhanay) aur kasb-e-halal mayn rukawat na ho, maan baap bhi man’a na karayn tou jaldi jaldi aur buhut jaldi musalsal 3 mah kay ya jis say jitnay ban parrayn utnay rozon kay liye kamar basta ho jaey, sahri aur aftar mayn kam kha ker payt ka Qufl-e-Madinah bhi lagaey. Kash! Her ghar mayn aur mayray jumla Madaris-ul-Madinah aur tamam Jami’at-ul-Madinah mayn rozon ki baharayn aajayn, bas pehli Rajab Shareef say hi rozon ka aaghaz farma di jaiye.
Rajab kay ibtida’i 3 rozon kay faza’el ki bhi kiya bat hay! Hazrat-e-Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Abbas رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُمَا say riwayat hay kay bay-chayn dilon kay chayn, Rahmat-e-darayn, Tajdar-e-Haramayn, Sarwar-e-Konayn, Nana-e-Hasanayn صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman-e-Rahmat nishan hay:” Rajab kay pehlay din ka roza 3 saal ka kafarah hay, aur dosray din ka rozah 2 saal ka aur teesray din ka 1 saal ka kaffarah hay, phir har din ka rozah 1