Book Name:Maktoob e Attar
mah ka kafarah hay.” (Al Jami’e Sagheer-lis-suyuti, safha 311, Hadees 5051, Fazael Shahr-e-Rajab-lil-Khallal, safha7)
Mayn gunahgar gunahon kay siwa kiya lata
Naykiyan hoti hayn Sarkar nayko kar kay pas
Nafli rozon ki bhi kiya khoob baharayn hayn, is ziman mayn 2 Ahadees Mubaraka mulahizah farmaiye:
1. Firishtay Du’a-e-Maghfirat kartay hayn
Hazrat-e-Sayyidatuna Ummay ‘Umara رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُمَا farmati hayn: Huzoor-e-Pak, Sahib-e-Lolaak, Sayyahil Aflaak صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم mayray yahan tashreef laey tou mayn nay Aap صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki khidmat-e-sarapa ba-barakat mayn khana paysh kiya tou irshad farmaya: “Tum bhi khao.” Mayn nay arz ki: Mayn rozay say hun. Tou Rahmat-e-‘Aalam صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay farmaya jab tak rozah daar kay samnay khana khaya jata hay, firishtay us (rozay daar) kay liye du’a-e-maghfirat kartay rahtay hayn. (Sunan-e-Tirmizi, jild 2, safha 205, Hadees 785)
2. Rozah Daar ki Haddiyan kab Tasbeeh kerti hayn
Hazrat-e-Sayyiduna Bilal رَضِىَ اللهُ تَعَالٰی عَـنْهُ Nabi-e-Akram, Noor-e-Mujassam, Shah-e-Adam-o-Bani Adam, Rasool-e-Muhtasham صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki Khidmat-e-Mu’azzam mayn hazir huway, us waqt Huzur-e-pur Noor, Shaf’ay Youm-un-Nushur صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ