Hamd / Munajat
اَلۡحَمۡدُ لِلّٰہِ رَبِّ الۡعٰلَـمِیۡنَ وَ الصَّلٰـوۃُ وَ السَّـلَامُ عَلٰی سَـیِّدِ الۡمُرۡ سَلِیۡنَ
اَمَّا بَـعۡدُ فَاَعُـوۡذُ بِا للّٰہِ مِنَ الشَّـیۡطٰنِ الرَّ جِیۡمِ ؕ بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّ حۡمٰنِ الرَّ حِیۡمِ ؕ
The Holy Rasool صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم stated: Adorn your gatherings by reciting Salat upon me as this will be Noor [light] for you on the Day of Judgement. (Firdaus-ul-Akhbar, vol. 1, pp. 422, Hadees 3149)
Dard Apna Day is Qadr Ya Rab
Dard apna day is qadr Ya Rab
Na paray chayn ‘umr bher Ya Rab
Tayray Mahboob ka mayn wasif hun
Day zuban mayn mayri asr Ya Rab
Tayri rahmat jo mayray sath rahay
Mujh ko kis ka ho phir khatar Ya Rab
Aysa mujh ko guma day ulfat mayn
Na rahay apni kuch khabar Ya Rab
Sakhtiyon say mujhay bacha layna
Rakhna rahmat ki Tu nazar Ya Rab
Mayray seenay ko apni ulfat say
Ba-tufail Habeeb bher Ya Rab
Qaadiri hay Jameel ay Ghaffar
Sab gunah is kay ‘afw kar Ya Rab
By: Maddah-ul-Habeeb, Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri رَحْمَةُ اللّٰهِ عَلَيْه
(Qabala-e-Bakhshish, pp. 56)
Comments