Muhammad Mustafa Jab Hashr Mayn Tashreef Layen Gay

Na’t

Muhammad Mustafa jab hashr mayn tashreef layen gay

To apnay naam laywon ko isharay mayn chhuraayn gay

Jo mahshar mayn pukarayn gay ‘اَغِثْنِیْ یَارَسُوْلَ الله

To un ki dast geeri kay liye Sarkar aaeyn gay

Jahannam cheekhta jab ‘arsa-e-mahshar mayn aaye ga

Siyah kaaron ko woh damaan-e-rahmat mayn chupayen gay

‘Muhammad’ wird-e-lab, daamaan-e-Ahmad donon haathon mayn

Gadayaan-e-Nabi is shan say mahshar mayn aayen gay

Guzar jayen gay pul say ‘رَبِّ سَلِّم’ ki sada sun kar

Woh bayra paar khud apnay ghulamon ka lagayen gay

Jo hogi hashr mayn sookhi zubanayn piyas say bahar

To Shah-e-Khuld-o-Kawsar jaam bhar bhar kay pilayen gay

Khuda chahay to Paysh-e-Haq ‘adalat mayn kharay ho kar

Jameel-e-Qaadiri Na’t apnay Maula ki sunayen gay

(Written by: Maddah-ul-Habib Maulana Jameel-ur-Rahman Qadiri Razavi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه – Qabalah-e-Bakhshish, p. 310)


Share

Articles

Comments


Security Code