Hamaray Dil Say Zamanay kay Gham Mita Ya Rab

اَلۡحَمۡدُ  لِلّٰہِ  رَبِّ  الۡعٰلَـمِیۡنَ    وَ الصَّلٰـوۃُ   وَ  السَّـلَامُ  عَلٰی   سَـیِّدِ  الۡمُرۡ سَلِیۡنَ

اَمَّا   بَـعۡدُ   فَاَعُـوۡذُ    بِا للّٰہِ   مِنَ  الشَّـیۡطٰنِ  الرَّ جِیۡمِ  ؕ بِسۡمِ  اللّٰہِ  الرَّ حۡمٰنِ  الرَّ  حِیۡمِ       ؕ

 

Saying of the Beloved Rasool صَلَّى اللہُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم: Whoever writes Salat upon me in a book, angels will continue to make Istighfar (seek forgiveness) for him as long as my name remains in it.  (Al-Mu’jam-ul-Awsat, vol. 1, pp. 497, Hadees 1835)

Hamd / Munajat

Hamaray Dil Say Zamanay kay Gham Mita Ya Rab

 

Hamaray dil say zamanay kay gham mita Ya Rab

Ho meethay meethay Madinay ka gham ‘ata Ya Rab

Gham-e-hayat abhi rahataun mayn dhal jayain

Tayri ‘ata ka isharah jo ho gaya Ya Rab

Pa`ay Husayn-o-Hasan Fatimah ‘Ali Haydar

Hamaray bigray huway kaam day bana Ya Rab

Hamari bigri huyi ‘aadatayn nikal jayain

Milay gunahaun kay amraaz say shifa Ya Rab

‘Ata ho Dawat-e-Islami ko qabool-e-‘aam

Isay shuroor-o-fitan say sada bacha Ya Rab

Mayn pul Siraat bila-khauf paar ker loon ga

Tayray karam ka sahara jo mil gaya Ya Rab

Kaheen ka ah! Gunahaun nay ab nahin chhora

‘Azab-e-nar say ‘Attar ko bacha Ya Rab

 

Wasail-e-Bakhshish, pp. 76

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat


Share

Hamaray Dil Say Zamanay kay Gham Mita Ya Rab

اَلۡحَمۡدُ  لِلّٰہِ  رَبِّ  الۡعٰلَـمِیۡنَ    وَ الصَّلٰـوۃُ   وَ  السَّـلَامُ  عَلٰی   سَـیِّدِ  الۡمُرۡ سَلِیۡنَ

اَمَّا   بَـعۡدُ   فَاَعُـوۡذُ    بِا للّٰہِ   مِنَ  الشَّـیۡطٰنِ  الرَّ جِیۡمِ  ؕ بِسۡمِ  اللّٰہِ  الرَّ حۡمٰنِ  الرَّ  حِیۡمِ       ؕ

 

Saying of the Beloved Rasool صَلَّى اللہُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم: Whoever writes Salat upon me in a book, angels will continue to make Istighfar (seek forgiveness) for him as long as my name remains in it.  (Al-Mu’jam-ul-Awsat, vol. 1, pp. 497, Hadees 1835)

Na’at / Istighaasah

Qamar kay Dau Kiye Ungli Say Taaqat is ko Kehtay Hayn

 

Qamar kay dau kiye ungli say taaqat is ko kehtay hayn

Huwa ik-dam mayn ‘عَوْدُ الشَّمْس’ qudrat is ko kehtay hayn

Jo daykhayn Hadrat Yusuf jamaal-e-Sayyid-e-‘Aalam

To fermayain qasam Haq ki malahat [مَلَاحَت] is ko kehtay hayn

Banaya un ko Mukhtar-e-Dau ‘Aalam un kay Maula nay

Khilafat aysi hoti hay niyabat [نِیَابَت] is ko kehtay hayn

Bala say pehlay aati hay madad tayray ghulamaun per

Tayray sadaqay Arab walay i’aanat [اِعَانَت] is ko kehtay hayn

Du’ayain day rahay hayn dushmano ko zulm kay badlay

Haleem aysay huwa kertay hayn, rahmat is ko kehtay hayn

Arab kay chand ki jab roshani phaylay gi Mahshar mayn

Kahayn gey Ambiya Mah-e-Risalat is ko kehtay hayn

Firishtaun yaad rakhna naam is ‘aasi ka Mahshar mayn

Jameel-e-Qaadiri sab Ahl-e-Sunnat is ko kehtay hayn

 

 

 

Qabalah-e-Bakhshish, pp. 115

By: Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi رَحْمَةُ اللّٰەِ تَعَالٰی عَلَيْه

Manqabat

Wah Kya Martabah Ay Ghaus Hay Baala Tayra

 

Wah kya martabah ay Ghaus hay baala tayra

Aoonchay aoonchon kay saraun say qadam a’la tayra

Kya dabay jis pay himayat ka ho panjah tayra

Shayr ko khatray mayn laata nahin kutta tayra

Kyun na qaasim ho kay tu Ibn-e-Abil Qaasim hay

Kyun na qaadir ho kay mukhtar hay Baba tayra

Jan to jatay hi jaye gi qiyamat yeh hay

Kay yahan mernay pay thehra [ٹھہرا] hay nazarah tayra

Tujh say der [دَر], der say sag [سَگ] aur sag say hay mujh ko nisbat

Mayri gerdan mayn bhi hay door ka dora [ڈورا] tayra

Is nishani kay jo sag hayn nahin maaray jatay

Hashr tak mayray galay mayn rahay patta [پَٹَّا] tayra

Fakhr-e-Aqa mayn Raza aur bhi ik nazm-e-rafee’

Chal likha layain sana-khuwano mayn chehra tayra

 

 

Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 21

By: Imam-e-Ahl-e-Sunnat, Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللّٰەِ تَعَالٰی عَلَيْه

 


Share

Articles

Comments


Security Code