Hamd
Gunahaun say Mujh ko Bacha Ya Ilahi
Gunahaun say mujh ko bacha Ya Ilahi
Buri ‘aadatayn bhi chhura Ya Ilahi
Khataon ko mayri mita Ya Ilahi
Mujhay nayk khaslat bana Ya Ilahi
Tujhay wasitah saaray Nabiyaun ka Maula
Mayri bakhsh day her khata Ya Ilahi
Gham-e-Mustafa day, gham-e-Mustafa day
Ho dard-e-Madinah ‘ata Ya Ilahi
Tujhay wasitah Sayyidah Aminah ka
Bana ‘aashiq-e-Mustafa Ya Ilahi
Mujhay maal-o-dawlat ki aafat nay ghayra
Bacha Ya Ilahi, bacha Ya Ilahi
Tu ‘attar ko chashm-e-nam day kay her dam
Madinay kay gham mayn rula Ya Ilahi
Wasail-e-Bakhshish, pp. 100
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه
Na’at
Aysi Qudrat nay Tayri Soorat Sawanri Ya Rasool
Aysi qudrat nay tayri soorat sawanri [سَنوارِی] Ya Rasool
Dauno ‘aalam ko huyi yeh shakal piyari Ya Rasool
Hay kahan maadar [مادَر] ko ulfat is qadar ferzand say
Tujh ko hay Ummat ki jitni pasdari Ya Rasool
Khuwab-e-ghaflat mayn paray din raat ham sotay rahay
Tum nay ki gham mayn hamaray ashk baari Ya Rasool
Waqt-e-payda`ish [پیدائش], shab-e-Mi’raaj, marqad mayn kaheen
Tum nay Ummat ki na chhori gham gusari [گساری] Ya Rasool
Haq kay piyaray aap aur Ummat hay piyari aap ko
Is liye Haq ko huyi Ummat bhi piyari Ya Rasool
Her museebat say bachaya tayray naam-e-pak nay
Tayri rahmat nay mayri haalat sawanri Ya Rasool
Hay faqat itni tamanna ay Jameel-e-Qaadiri
Ho tayri khalis [خالص] mahabbat dil mayn saari Ya Rasool
Qabalah-e-Bakhshish, pp. 89
Shah ‘Abdul ‘Aleem Meeruthi Siddeeqi رَحْمَةُ اللّٰەِ تَعَالٰی عَلَيْه
Comments