Hamd, Na’at, Kalam

Hamd / Munajaat

Ilahi dikha day jamal-e-Madinah

Karam say ho pura suwal-e-Madinah

Dikha day mujhay sabz gumbad kay jalway

Dikha mujh ko dasht-o-jibaal-e-Madinah

Puhunch ker Madinay mayn ho jaey Maula

Mayri jan fida-e-jamal-e-Madinah

Gham-e-‘ishq-e-sarwar Khudaya ‘ata ker

Mujhay az tufail-e-Bilal-e-Madinah

Khuda-e-Muhammad hamaray dilon say

Na niklay kabhi bhi khayal-e-Madinah

Sada Rahmaton ki barasti jharri hay

Madinay mayn ye hay Kamal-e-Madinah

Qadam chum ker sar pay rakh layna ‘Attar

Nazar Aye gar nau nihaal-e-Madinah

 

(Wasail-e-Bakhshish Murammam, pp. 363)

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ


Share

Hamd, Na’at, Kalam

Naat / Istighaasah

Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda tayri shan-o-shaukat kya kehna

Har shay pay likha hay naam tayra, tayray zikr ki rif’at kya kehna

Hay sar per taj nubuwwat ka jorra hay tan pay karamat ka

Sehra hay jabeen pay shafa’at ka ummat pay hay rahmat kya kehna

Quran kalam-e-baari hay aur tayri zaban say jaari hay

Kya tayri fasahat piyari hay aur tayri balaghat kya kehna

Baaton say tapakti lazzat hay aankhon say barasti Rahmat hay

Khutbay say chamakti haybat hay aye Shah-e-Risalat kya kehna

Aankhon say kiya dariya jaari aur lab pay Du’a piyari piyari

Ro ro kay guzari shab saari aye haami-e-ummat ka kiya kehna

‘Aalam ki bharayn her dam jholi khud kha’iyn tou bus jau ki roti

Woh shan ‘ata-o-sakhawat ki ye zuhd-o-qana’at kya kehna

Shuhrat hay Jameel itni tayri ye sab hay karamat murshid ki

Kehtay hayn tujhay Maddah-e-Nabi sab Ahl-e-Sunnat kya kehna

 

(Qabala-e-Bakhshish, pp. 47)

By: Maddah-ul-Habib, Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَـلَيْه

 


Share

Articles

Comments


Security Code