Mahabbat mayn Apni guma Ya Ilahi/Iraday gud gudaatay hayn/Ya ‘Ali-al-Murtada Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Hamd / Munajat

Mahabbat mayn Apni guma Ya Ilahi

Mahabbat mayn Apni guma Ya Ilahi

Na paoon mayn apna pata Ya Ilahi

Rahun mast-o-bay-khud mayn Tayri wila mayn

Pila jaam aysa pila Ya Ilahi

Mayn baykaar bataun say bach ker hamayshah

Karoon Tayri Hamd-o-Sana Ya Ilahi

Mayray ashk behtay rahayn kash her dam

Tayray khauf say Ya Khuda Ya Ilahi

Tu Apni wilayat ki khayraat day day

Mayray Ghaus ka wasitah Ya Ilahi

Mayra her ‘amal bas Tayray wasitay ho

Ker Ikhlas aysa ‘ata Ya Ilahi

Musalman hay Attar Tayri ‘ata say

Ho Iman per khatimah Ya Ilahi

 

Wasail-e-Bakhshish, pp. 105

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat


 


Share

Mahabbat mayn Apni guma Ya Ilahi/Iraday gud gudaatay hayn/Ya ‘Ali-al-Murtada Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Na’at / Istighaasah

Iraday gud gudaatay hayn

Umangayn josh per aayeen iraday gud gudaatay hayn

Jameel-e-Qaadiri shayad Habib-e-Haq bulatay hayn

Jaga daytay hayn qismat chahtay hayn jis ki dam bhar mayn

Woh jis ko chahtay hayn apnay rauzay per bulatay hayn

Unhayn mil jata hay goya woh saayah ‘Arsh-e-A’zam ka

Tayri deewar kay saa`ay mayn jo bister jamatay hayn

Muqaddar is ko kehtay hayn firishtay ‘Arsh say aa ker

Ghubaar-e-fersh-e-Taybah apni ankhaun mayn lagatay hayn

Khuda jaanay kay Taybah ko hamara kab safar hoga

Madinay kay hazaraun qafilay her saal jatay hayn

Tasadduq Jan-e-‘Aalam is kareemi-o-raheemi kay

Gunah kertay hayn ham, woh apni rahmat say chhupatay hayn

Jameel-e-Qaadiri ko daykh ker hooron mayn ghul hoga

Yehi hayn woh kay jo Na’at-e-Habib-e-Haq sunatay hayn

 

 

Qabalah-e-Bakhshish, pp. 111

By: Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi


 


Share

Mahabbat mayn Apni guma Ya Ilahi/Iraday gud gudaatay hayn/Ya ‘Ali-al-Murtada Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Manqabat

Ya ‘Ali-al-Murtada Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Ya ‘Ali-al-Murtada Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Aap hayn Shayr-e-Khuda Maula ‘Ali Mushkil Kusha

‘Ilm ka mayn shahar hoon derwazah is ka hayn ‘Ali

Hay yeh qaul-e-Mustafa Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Ba’d-e-khulafa-e-salasah sab Sahabah say bara

Aap ko rutbah mila Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Qal’a-e-Khyber ka derwazah ukhara aap nay

Marhaba! Sad Marhaba! Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Haydar-e-Karraar! Lay kay aao teegh-e-Zulfiqar

Zaur-e-dushman berh chala Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Az-pa`ay Ghaus-ul-Wara ham ko Najaf bulwaiye

Ho karam Ya Murtada Maula ‘Ali Mushkil Kusha

Ki-jiye Haq say Du’a Iman per ho khatimah

Khayr say ‘Attar ka Maula ‘Ali Mushkil Kusha

 

 

Wasail-e-Bakhshish, pp. 521

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat


Share

Articles

Comments


Security Code