Munajat, Na’at / Istighaasah

Munajat

Sar hay Kham Haath mayra Utha hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Sar hay kham haath mayra utha hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Fazl ki rahm ki iltija hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Tayra in’aam hay Ya Ilahi, kaysa ikraam hay Ya Ilahi

Haath mayn daman-e-Mustafa hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

‘Ishq day, sauz day, chashm-e-nam day, mujh ko meethay Madinay ka gham day

Wasitah Gumbad-e-Sabz ka hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Hoon ba-zaahir bara nayk soorat, ker bhi day mujh ko ab nayk seerat

Zaahir achcha hay baatin bura hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Mayray murshid jo Ghaus-ul-Wara hayn, Shah Ahmad Raza rahnuma hayn

Yeh Tayra lutf Tayri ‘ata hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Ya Khuda aysay asbab paoon, kash Makkay Madinay mayn jaoon

Mujh ko arman Hajj ka bara hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Ya Ilahi ker aysi ‘inayat, day day Iman per istiqamat

Tujh say ‘Attar ki iltija hay, Ya Khuda Tujh say mayri Du’a hay

Wasail-e-Bakhshish, pp. 134

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه


Share

Munajat, Na’at / Istighaasah

Na’at / Istighaasah

Tum hi ho Chayn aur Qarar Dil-e-Bay Qarar mayn

Tum hi ho chayn aur qarar dil-e-bay qarar mayn

Tum hi to aik aas ho qalb-e-gunahgar mayn

Ruh na kyun ho muztarib maut kay intizar mayn

Sunta hoon mujh ko daykhnay aayain gey woh mazaar mayn

In kay jo ham ghulam thay khalq kay payshwa rahay

In say phiray, jahan phira, aayi kami waqar mayn

Qabr ki sooni raat hay koi na aas pas hay

Ik tayray dam ki aas hay qalb-e-siyah-kaar mayn

Fayz nay tayray Ya Nabi ker diya mujh ko kya say kya

Wernah dhara huwa tha kya mutthi [مٹھی] bhar is ghubar mayn

Chaar Rusul, firishtay chaar, chaar kutub hayn, Deen chaar

Silsilay dauno chaar chaar, lutf ‘ajab hay chaar mayn

Saalik-e-ru siyah ka munh [مُنہ], da’wa-e-‘ishq-e-Mustafa

Paa`ay jo khidmat-e-Bilal, aaye kisi shumar mayn

Deewan-e-Saalik, pp. 16

By: Mufti Ahmad Yar Khan رَحْمَۃُ اللہِ تَعَالٰی عَلَیْہِ


Share

Articles

Comments


Security Code