Ya Khuda Meri Maghfirat Farma

اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ وَ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلٰی سَیِّدِ الْمُرْسَلِیْنَ ط

اَمَّا بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللّٰہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ ط  بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم ط

The Holy Rasool صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم stated: Adorn your gatherings by reciting Salat upon me as this will be Noor [light] for you on the Day of Judgement. (Firdaus-ul-Akhbar, vol. 1, pp. 422, Hadees 3149)

 

Ya Khuda mayri maghfirat farma

Ya Khuda mayri maghfirat farma

Bagh-e-Firdaus marhamat farma

Deen-e-Islam par mujhay Ya Rab

Istiqamat tu marhamat farma

Tu gunahon ko ker mu’af Allah

Mayri maqbool ma’zirat farma

Tu sharaf zayr-e-gumbad-e-khazra

Mujh ko marnay ka marhamat farma

Sarfaraz aur surkhuru Maula

Mujh ko tu rauz-e-aakhirat farma

Mushkilon mayn mayray Khuda mayri

Har qadam par mu’awanat farma

Ho na attar hashr mayn ruswa

Bay hisaab is ki maghfirat farma

Wasail-e-Bakhshish (amended), pp. 75

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ

 


Share

Ya Khuda Meri Maghfirat Farma

Yeh ikram hay Mustafa par Khuda ka

Yeh ikram hay Mustafa par Khuda ka

Kay sab kuch Khuda ka huwa Mustafa ka

Yeh baytha hay sikka tumhari ‘ata ka

Kabhi hath uthnay na paya gada ka

Sahara diya jab miray na Khuda nay

Hui na’o seedhi phira rukh hawa ka

Tayra naam lay kar jo mangay woh paey

Tayra naam laywa hay piyara Khuda ka

Khuda madh khuwn hay Khuda madh khuwn hay

Mayray Mustafa ka mayray Mustafa ka

Kisi kay jigar mayn tau sar par kisi kay

‘ajab martabah hay tayray naqsh-e-pa ka

Bhala hay Hasan ka janab-e-Raza say

Bhala ho Ilahi janab-e-Raza ka

(Zauq-e-Na’t, pp. 55)

By: Brother of A’la Hadrat, Maulana Hasan Raza Khan رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَـلَيْه

Jisay Jalwah nazar aaya Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

Jisay Jalwah nazar aaya Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

Dil-o-Jan say huwa shayda Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

‘Ajam mayn dhoom hay Kis ki Shah-e-Ahmad Raza Khan ki

‘Arab wasif huwa kis ka Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

Nahin yara-e-furqat dafn mayn ta’jeel ho yaaro

Keh hay paysh-e-nazar jalwah Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

Bari muddat mayn mar mar ker huwa din aaj ye hasil

Sar-e-baleen huwa phayra Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

Raza Apnay ghulamaun ko liye jab pul say guzrayn gay

Tou hoga shaur ik barpa Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

Liwa-ul-Hamd [لِوَاءُ الْحَمْد] kay neechay jagah hum ko milay ya Rab

Karayn dil bhar kay nazzarah Imam-e-Ahl-e-Sunnat ka

Milay sabr-o-qana’at ka na kiyun hissah tujhay Razavi

Keh Tu Ayyub hay bandah Imam-e-Ahl-e-Sunnat

(Shamaim-e-Bakhshish, pp. 8)

By: Maulana Sayyid Ayyub Ali Razavi رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَـلَيْه


Share

Articles

Comments


Security Code