Hamd, Na’at

Hamd / Munajat

Allah Mujhay Hafiz-e-Quran Bana Day

 

Allah mujhay Hafiz-e-Quran bana day

Quran kay ahkam pay bhi mujh ko chala day

Filmaun say diramaun say day nafrat Tu Ilahi

Bas shauq mujhay Na’at-o-tilawat ka Khuda day

Mayn sath Jama’at kay perhoon saari namazayn

Allah! ‘Ibadat mayn mayray dil ko laga day

Her kaam Shari’at kay mutabiq mayn karoon kash!

Ya Rab Tu muballigh mujhay Sunnat ka bana day

Mayn jhoot na boloon kabhi gaali na nikaloon

Allah maraz say Tu gunahaun kay shifa day

Akhlaq haun achchay mayra kirdar ho suthra

Mahboob ka sadqah Tu mujhay nayk bana day

Ustad haun, ma baap haun, ‘Attar bhi ho sath

Yoon Hajj ko chalayn aur Madinah bhi dikha day

 

Wasail-e-Bakhshish, pp. 113

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه

 


Share

Hamd, Na’at
>

Na’at / Istighaasah

Mah-e-Taybah Nayyar-e-Batha ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

 

Mah-e-Taybah Nayyar-e-Batha ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

Tayray dam say ‘aalam chamka ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

Tu hay naa’ib-e-Rab-e-Akbar, Piyaray her dam tayray der per

Ahl-e-haajat ka hay maylah ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

Jitnay salateen pehlay aaye, sikkay in kay ho gaye khotay [کھوٹے]

Jari rahay ga sikkah tayra ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

Raafi’ tum ho Daafi’ tum ho, Naafi’ tum ho Shaafi’ tum ho

Ranj-o-gham ka phir kya khatka ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

Her zarrah per tayri nazar hay, her qatrah ki tujh ko khabar hay

Ho ‘ilm-e-ladunni kay tum daana ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

Tum ho awwal, tum ho aakhir, tum ho baatin, tum ho zaahir

Haq nay bakhshay hayn yeh asma ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

Haazir-e-der hay noori-e-muzter, aap ka yeh mauroosi sanager

Ibn-e-Raza hay khuwahan Raza ka ‘صَلَّی اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّم

 

 

Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 105

By: Mufti-e-A’zam Hind, Mustafa Raza Khan رَحْمَةُ اللّٰەِ عَلَيْه


Share

Articles

Comments


Security Code