Sharf de Hajj ka mujhay mayray Kibriya Ya Rab

Sharf de Hajj ka mujhay mayray Kibriya Ya Rab

Sharf de Hajj ka mujhay mayray Kibriya Ya Rab

Rawana soo-e-Madinah ho Qafilah Ya Rab

Dikha de aik jhalak sabz sabz Gumbad ki

Bus un kay jalwon mayn aajaye phir qaza Ya Rab

Mayra ho Gumbad-e-Khazra ki thandi chaaon mayn

Rasool-e-Pak ke qadmon mayn khatimah Ya Rab

Bawaqt-e-Naza’ salamat rahay mayra Iman

Mujhay naseeb ho taubah hay iltijaYa Rab

Jawab qabr mayn Munkar Nakeer ko doon ga

Tayray karam se agar hosla milaYa Rab

Baroz-e-Hashr chalakta sa jaam kausar ka

Badast-e-Saaqi-e-Kausar hamayn pilaYa Rab

Baqi’-e-Pak mayn Attar dafn ho jaaye

Bara-e-Ghaus-o-Raza az pae ZiyaYa Rab

(Wasail-e-Bakhshish (Murammam), pp. 87)

By Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَکَاتُہُمُ الْعَالِیَہ


Share

Sharf de Hajj ka mujhay mayray Kibriya Ya Rab

Naam tayra Ya Nabi mayra mufarreh jaan hay

Naam tayra Ya Nabi mayra mufarreh jaan hay

Tayray naam-e-pak se dil mayra shaad har aan hay

Jis ghari mushkil mayn layway koi tayra naam-e-pak

Ya Rasoolallah! Mushkil uski sab asaan hay

Qurb mayn apni jaga di tayray Rab-e-Pak nay

Waasitah Aadam nay chaha, yeh to tayri shan hay

Tu woh hay Allah khud ta’reef karta hay tayri

Aur tayri Maddah yaan dunya mayn khud Quran hay

Jo waseela tum se chahay uss ka bayra paar hay

Jo na jaanay tum ko Shaafi’, woh to bay-iman hay

Nooh nay toofan mayn, Yusuf nay hay zindaan[1] mayn

Rab se tayra waasta chaha, yeh tayri shaan hay

Waan Khaleelullah nay aatish se pai thi najaat

Aur shafa’at ka tayri khuwahan yahan Burhan hay

(Jazbaat-e-Burhan, pp. 125)

By Khalifa-e-A’la Hazrat, Mufti Burhan-ul-Haq Jabal Poori رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه

Khalifa-e-A’la Hazrat, Mufti Burhan-ul-Haq Jabal Poori رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه wrote this Na’t only at the age of 9.



[1]Prison


Share

Articles

Comments


Security Code