Na’at
Sab say Awla-o-A’la Hamara Nabi
Sab say awla-o-a’la hamara Nabi
Sab say baala-o-waala hamara Nabi
Apnay Maula ka piyara hamara Nabi
Dauno ‘aalam ka dulha hamara Nabi
Bujh ga`een jis kay aagay sabhi mash’alayn
Sham’a woh lay ker aaya hamara Nabi
Jis ki dau boond hayn Kawsar-o-Salsabeel
Hay woh rahmat ka darya hamara Nabi
Kaun dayta hay daynay ko munh chahiye
Daynay wala hay sachcha hamara Nabi
La-makan tak ujala hay jis ka woh hay
Her makan ka ujala hamara Nabi
Ghamzadaun ko Raza muzdah di-jiye kay hay
Bay-kasaun ka sahara hamara Nabi
Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 138
By: Imam of Ahl-us-Sunnah, Imam Ahmad Raza
Khan رَحْمَةُ اللّٰەِ عَلَيْه
Kalam
Aaj Ghusl-e-Ka’bah Hay
Kyun hayn shaad deewanay! Aaj ghusl-e-Ka’bah hay
Jhoomtay hayn mastanay aaj ghusl-e-Ka’bah hay
Ghusl ho raha per hayn Tawaf mayn mashghool
Gird-e-sham’a perwanay aaj ghusl-e-Ka’bah hay
“Chal Madinah” walon per Saqiya [ساقِیا] karam ker do!
Do chhalaktay [چَھلَکتے] paymanay aaj ghusl-e-Ka’bah hay
Apnay Rab ki ulfat mayn paysh ki jiye mil ker
Aansu’on kay nazranay aaj ghusl-e-Ka’bah hay
Jan-e-rahmat aa jao haun gey khayr say aabad
Sab dilaun kay weeranay aaj ghusl-e-Ka’bah hay
Jan ko masarrat hay ruh ko bhi hay ferhat
Is khushi ko dil jaanay aaj ghusl-e-Ka’bah hay
Lutf jo mila mujh ko kya bataoon mayn ‘Attar
Is ko mayra dil jaanay aaj ghusl-e-Ka’bah hay
Wasail-e-Bakhshish, pp. 491
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat
دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه
Comments