Hubb-e-Dunya Say Tu Bacha Ya Rab

Hamd, Munajat

Hubb-e-Dunya Say Tu Bacha Ya Rab

Hubb-e-dunya say Tu bacha Ya Rab

‘Aashiq-e-Mustafa bana Ya Rab

Ker day Hajj ka sharaf ‘ata Ya Rab

Sabz Gumbad bhi day dikha Ya Rab

Kash lab per mayray rahay jaari

Zikr aathon pahar Tayra Ya Rab

Day day soz-e-Bilal Ya Allah

Ashkbar aankh ho ‘ata Ya Rab

Day shahadat mujhay Madinay mayn

Az paey Shah-e-Karbala Ya Rab

Wasitah mayray Peer-o-Murshid ka

Mujh ko Tu muttaqi bana Ya Rab
Ker day Jannat mayn Tu jawaar un ka

Apnay ‘Attar ko ‘ata Ya Rab

Wasail-e-Bakhshish, pp. 79

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat

Share

Hubb-e-Dunya Say Tu Bacha Ya Rab

Na’at, Istighaasah

‘Arsh-e-Haq hay Masnad-e-Rif’at Rasoolullah ki

‘Arsh-e-Haq hay masnad-e-rif’at Rasoolullah ki

Daykhni hay Hashr mayn ‘izzat Rasoolullah ki

Qabr may lahraey gey ta Hashr chashmay Noor kay

Jalwah ferma ho gi jab tal’at Rasoolullah ki

لَا وَ رَبِّ العَرش, Jis ko jo mila un say mila

Batti hay kaunayn mayn na’mat Rasoolullah ki

Ham bhikari woh Kareem un ka Khuda un say fuzoon

Aur “na” kehna nahin ‘aadat Rasoolullah ki

Ahl-e-Sunnat ka hay bayra paar ashab-e-Huzoor

Najm hayn aur naao hay ‘itrat Rasoolullah ki

Khaak ho ker ‘ishq mayn aaram say sona mila

Jan ki ikseer hay ulfat Rasoolullah ki

Ay Raza khud Sahib-e-Quran hay maddah-e-Huzoor

Tujh say kab mumkin hay phir midhat Rasoolullah ki

Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 152

By: Imam of Ahl-us-Sunnah, Imam Ahmad Raza Khan


Manqabat

Wah Kya Baat A’la Hadrat ki

Mustafa ka woh laadla piyara, wah kya baat A’la Hadrat ki

Ghaus-e-A’zam ki aankh ka taara, wah kya baat A’la Hadrat ki

‘Ilm-o-‘irfan ka jo kay saagar tha, khayr say haafizah qawi ter tha

Haq pay mabni tha jis ka her Fatwa, wah kya baat A’la Hadrat ki

Jis nay daykha unhayn ‘aqeedat say, qalb ki aankh say mahabbat say

Marhaba marhaba pukar utha, wah kya baat A’la Hadrat ki

Sunnataun ko jila diya jis nay, Deen ka danka baja diya jis nay

Woh mujaddid hay Deen-o-millat ka, wah kya baat A’la Hadrat ki

Jo hay Allah ka Wali bayshak, ‘aashiq-e-sadiq-e-Nabi bayshak

Ghaus-e-A’zam ka jo hay matwala, wah kya baat A’la Hadrat ki

Phir Bareilly Shareef jaoon mayn, barakatayn Murshidi ki paoon mayn

Ker loon rauzay ka khoob nazarah, wah kya baat A’la Hadrat ki

Maula bahr-e-“Hadaiq-e-Bakhshish”, bakhsh ‘Attar ko bila pursish

Khuld mayn kehta kehta jaye ga, wah kya baat A’la Hadrat ki

Wasail-e-Bakhshish, pp. 575

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat

Share

Articles

Comments


Security Code