Na’at/Istighasah
بِحَمْدِ اللّٰہ ‘Abdullah
ka Noor-e-Nazar aaya
Mubarak Aaminah ka Noor-e-dil Lakht-e-jigar
aaya
Rabee’-e-pak tujh par Ahl-e-Sunnat kyun na
qurban haun
Kay tayri baarhween tareekh wo
Jaan-e-qamar aaya
Uloom-e-awwaleen-o-aakhireen hayn jis kay
seenay mayn
Khabar hay zarrah zarrah ki jisay wo ba-khabar
aaya
Shab-e-Meelad-e-Aqdas thi musarrat zarrah
zarrah ko
Magar Iblees apnay saathiyon mayn nauhah
kar aaya
Hukumat aysi naafiz hay kay in ka hukm
paatay hi
‘Ali kay wasitay maghrib say sooraj laut
kar aaya
Kaho har roz kitni baar tum yaad is ki
kartay ho
Khayal-e-Ummat-e-‘aasi jisay aathon pahar
aaya
Jameel-e-Qaadiri jab sabz Gumbad un ka
daykhoon ga
To samjhoon ga mayri nakhl-e-tamanna mayn
samar aaya
(Qabala-e-Bakhshish,
pp. 36)
“By:” Maddah-ul-Habib Maulana
Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi رَحْمَةُ
اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه
Kalam
Manana Jashn-e-Meelad-un-Nabi hargiz na
chhoren gey
Juloos-e-pak mayn jana kabhi hargiz na
chhoren gey
Lagatay jaen gay ham ya Rasoolallah kay
na’ray
Machana marhaba ki dhoom bhi hargiz na
chhoren gey
Manayain gay khushi ham Hashr tak
Jashn-e-Wiladat ki
Sajawat aur karna roshni hargiz na chhoren gey
Agarchay jaan bhi is raah mayn qurban ho
jaye
Magar Na’at-e-Nabi parhna kabhi hargiz na
chhoren gey
Nabi kay naam par so jaan say qurban ho
jaen
Ghulaman-e-Nabi zikr-e-Nabi hargiz na
chhoren gey
Jo koi jis ka khata hay usi kay geet gata
hay
Nabi kay geet gana ham kabhi hargiz na
chhoren gey
Tasalli rakh na ho mayoos qabr-o-Hashr mayn
‘Attar
Tujhay tanha Rasool-e-Hashimi hargiz na
chhoren gey
(Wasail-e-Bakhshish,
pp. 414)
“By:” Shaykh-e-Tareeqat
Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ
بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ
Comments