Hamd/Munajat
Mayray Maula tu khayrat daiday
Ya Ilahi Du’a hay gada ki, mayray Maula tu khayrat daiday
Jalwah-e-Sarwar-e-Ambiya ki, mayray Maula tu khayrat daiday
Bheek day Jalwa-e-Mustafa ki, sab sahabah ki Aal-e-‘Aba[1] ki
Ghaus-o-Khuwajah ki Ahmad Raza, mayray Maula tu khayrat daiday
Koi Hajj ka sabab ab bana day, mujh ko Ka’bay ka jalwah dikha day
Deed-e-‘Arafat-o-Deed-e-Mina ki, mayray Maula tu khayrat daiday
Day Madinay ki mujh ko gada`ie, ho ‘ata do jahan ki bhala’ie
Hay sada ‘aajiz-o-bay nawa ki, mayray Maula tu khayrat daiday
Haziri kay liye jo bhi tarpay, sabz gumbad ka deedar kar lay
Us ko Tayba ki mahki faza ki, mayray Maula tu khayrat daiday
Her dam Iblees peechay laga hay, Hifz-e-Iman ki iltija hay
Ho karam amn-e-rauz-e-jaza ki, mayray Maula tu khayrat daiday
Ruh ‘attar ki jab juda ho, samnay Jalwa-e-Mustafa ho
Unkay qadmon mayn is ko qaza ki, mayray Maula tu khayrat daiday
Wasail-e-Bakhshish, Murammam, pp. 124
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ
[1] Aal-e-‘Aba (آلِ عَبا): Sayyiduna Ali, Sayyidatuna Fatimah, Sayyiduna Imam Hasan and Sayyiduna Imam Husain عَلَیْھِمُ الرِّضْوَان are called ‘Aal-e-‘Aba’.
Comments