Hamd/Munajat, Na’t/ Istighaasah

اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ وَ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلٰی سَیِّدِ الْمُرْسَلِیْنَ ط

اَمَّا بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللّٰہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ ط  بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم ط

The Holy Rasool صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم stated:

Adorn your gatherings by reciting Salat upon me as this will be Noor [light] for you on the Day of Judgement. (Firdaus-ul-Akhbar, vol. 1, pp. 422, Hadees 3149)

Ya Rabb-e-Muhammad mayri taqdeer jaga day

Sahra-e-Madinah mujhay ankhaun say dikha day

Pichha mayra dunya ki mahabbat say chhura day

Ya Rab mujhay deewana Madinay ka bana day

Dil ishq-e-Muhammad mayn tarapta rahay har dam

Seenay ko Madinah  mayray Allah bana day

Behti rahay aksar Shah-e-Abrar kay ghum mayn

Rooti hui woh aankh mujhay mayray khuda day

Iman pay day maut Madinay ki gali mayn

Madfan mayra mahboob kay qadamon mayn bana day

Allah milay Hajj ki isi saal sa’adat

Badkar ko phir Rauzah-e-Mahboob dikha day

‘Attar say mahboob ki sunnat ki lay khidmat

Danka ye tayray Deen ka dunya mayn baja day

(Wasail-e-Bakhshish, pp. 112)

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ


Share

Hamd/Munajat, Na’t/ Istighaasah

Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Mushtaq-e-ziyarat hoon Aqa, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Taybah ka chaman ankhaun mayn basa, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Nadim hoon apnay ma’assi par, Lillah karam ho ‘aasi par

Dho daliye mayray jurm-o-khata, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Lachaar ghareebo kay waali, ‘isiyan ki ghata kali kali

Daman mayn chhupa aye Abr-e-Sakha, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Munh mangi muradayn payn jahan, lakhaun mangta Shahan-e-Jahan

Nadar ko bhi tukra ho ‘ata, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Mahshar mayn haun hum par saya kana, Ameen kaho sab khurdo kalaan

Bajta rahay ‘aalam mayn danka, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Ankhaun ki ziya A’la Hadrat, hayn dil ki jila A’la Hadrat

Hay sab yeh karam Aqa tayra, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Hay Haq ki riza Ahmad ki riza, Ahmad ki riza marzi-e-Raza

Ayyub isi dar ka hay gada, Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda

Shamaim-e-Bakhshish, pp. 18

By: Maulana Sayyid Ayyub Ali Razavi رَحْمَةُ اللّٰهِ عَلَيْه


Share

Articles

Comments


Security Code