Munajaat, Na’t, Kalam

Mita mayray ranj-o-alam Ya Ilahi

‘Ata ker mujhay apna gham Ya Ilahi

Jo Ishq-e-Muhammad mayn aansu bahaey

‘Ata ker day woh chashm-e-nam Ya Ilahi

Dikha day Madinay ki galiyan dikha day

Dikha day Nabi ka Haram Ya Ilahi

Mujhay day day Iman par istiqamat

Paey Sayyid Muhtasham Ya Ilahi

Sada kay liye hoja razi Khudaya

Hamaysha ho lutf-o-karam Ya Ilahi

Mayn tahreer say deen ka danka baja don

‘Ata ker day aysa qalam Ya Ilahi

Tu ‘Attar ko bay sabab bakhsh Maula

Karam ker karam ker karam Ya Ilahi

 

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ

Wasail-e-Bakhshish (amended), pp. 109


Share

Munajaat, Na’t, Kalam

Daman-e-Habeeb-e-Kibriya

Jan-o-dil Ya Rab ho qurban-e-Habeeb-e-Kibriya

Aur hathon mayn ho daman-e-Habeeb-e-Kibriya

Zindagi ho ya mujhay maut aaye dono haal mayn

Mayn hoon Ya Rab aur bayaban-e-Habeeb-e-Kibriya

Ban kay mangta un kay dar kay Shah-e-‘Aalam ho gaey

Aye zahay qismat gadiyan-e-Habeeb-e-Kibriya

Bat-ta hay konayn mayn bara isi Sarkar ka

Hayn zameen-o-aasman khuwan-e-Habeeb-e-Kibriya

Kon hay jo un kay khuwan-e-fazl say mahroom hay

Hayn Khaleel-e-haq[1] bhi mehman-e- Habeeb-e-Kibriya

‘Aql-e-Aalam ki rasa`ee un kay rutbay tak muhaal

Han Khuda say pochchay shan-e-Habeeb-e-Kibriya

Fayz murshid hay Jameel Qaadiri tum par kay sab

Tum ko kehtay hayn sana khuwan-e- Habeeb-e-Kibriya

By: Maddah-il-Habeeb, Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi رَحْمَةُ اللّٰهِ عَلَيْه

                  Qabalah-e-Bakhshish, pp. 34

Nahin ‘umr ghaafil gawanay kay qabil

Amal kuch tou kar lay dikhanay kay qabil

Yeh dunya nahin mazra’-e-aakhirat hay

Bata kiya hay boya uganay kay qabil?

Na ta’at say matlab na khauf-e-Ilahi

Yehi munh hay Jannat mayn janay kay qabil?

Gunahgar bandon kay Haami-o-Yawar

Bahar hal hum hayn nibhanay kay qabil

Shaha apnay namay ko kay say sunao

Amal tou hayn saray chhupanay kay qabil

Madinay mayn gar maut aaye tou janon

Mayray jurm hayn bakhshwanay kay qabil

Haqeeqat mayn Ayyub dil ki tou ye hay

Kay Taybah hi bus hay basanay kay qabil

By: Maulana Sayyid Ayyub Ali Razavi رَحْمَةُ اللّٰهِ عَلَيْه

Shama`im-e-Bakhshish, pp. 49



[1] Sayyiduna Ibraheem عَـلَيْـهِ الـسَّـلَام


Share

Articles

Comments


Security Code