Na’at / Istighaasah
Zahay ‘Izzat-o-I’tila`ay Muhammad [اِعتلائے مُحَمَّد]
Zahay ‘izzat-o-i’tila`ay Muhammad
Kay hay ‘Arsh-e-Haq zair-e-pa`ay Muhammad
Khuda ki riza chahtay hayn dau ‘aalam
Khuda chahta hay riza`ay Muhammad
‘Ajab kya ager rahm ferma lay ham per
Khuda`ay Muhammad bara`ay Muhammad
Dam-e-naz’a jaari ho mayri zaban per
Muhammad Muhammad Khuda`ay Muhammad
‘Asa`ay Kaleem azdaha`ay ghazab tha
Giron [گِروں] ka sahara asa`ay Muhammad
Khuda un ko kis piyar say daykhta hay
Jo ankhayn hayn mahw-e-liqa`ay Muhammad [لقائے محمد]
Raza pul say ab wajd kertay guzariye
Kay hay ‘رَبِّ سَلِّم’ du’a`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 65
By: Imam of Ahl-us-Sunnah, Imam Ahmad Raza
Khan رَحْمَةُ اللّٰەِ عَلَيْه
Manqabat
Imam-e-Ahl-e-Sunnat Kaun hay? Mayray Shaha
Tum ho
Imam-e-Ahl-e-Sunnat kaun hay? Mayray shaha tum ho
Yeh bayra Sunniyaun ka aur is kay na-khuda tum ho
Woh jis ki zaat per hay fakhr aglaun aur pichhlaun ko
Ba-fazl-e-Haq wohi haqqaniyat kay rahnuma tum ho
Muhafiz tha jo namoos-e-risalat ka zamanay mayn
Jisay yeh fakhr tha kay hoon mayn ‘Abdul Mustafa, tum
ho
Shari’at mayn Imamat ka raha sahra tumharay ser
Jo hay ahl-e-tareeqat kay liye qiblah numa tum ho
Woh jis kay zuhd-o-taqwa ko saraha shan walon nay
Kaha yoon payshwaon nay hamara payshwa tum ho
Tum hi to qafilah salaar ho noori jama’at kay
Hidayat ki kasauti daur-e-hazir mayn shaha tum ho
Hadaiq jis nay bakhshish kay basa`ay hubb-e-Nabawi say
Madinay ka woh bulbul, toti-e-naghmah sara [طَوطِیْ نَغمَہ سَرا]
tum ho
Manaqib-e-Raza, pp. 21
By: ‘Allamah Abdul Hakeem Akhtar
Shahjahanpuri رَحْمَةُ
اللّٰەِ عَلَيْه
Comments