Hamd / Munajat
Allah ‘Ata Ho Mujhay Deedar-e-Madinah
Allah ‘ata ho mujhay deedar-e-Madinah
Ho jaoon mayn phir hazir-e-darbar-e-Madinah
Ankhayn mayri mahroom hayn muddat say Ilahi
‘Arsah huwa daykha nahin gulzar-e-Madinah
Phir daykh loon sahra-e-Madinah ki baharayn
Phir paysh-e-nazar kash! Ho kuhsaar-e-Madinah
Phir Gumbad-e-Khazra kay nazrayn haun muyassar
Allah dikha day mujhay anwaar-e-Madinah
Rehlat ki ghari hay mayray Allah dikha day
Sirf aik jhalak jalwa-e-Sarkar-e-Madinah
Allah mujhay bakhsh, na ho Hashr mayn pursish
Ker lutf-o-karam az-pa`ay Sarkar-e-Madinah
Ya Rab dil-e-‘Attar pay chhayi hay udasi
Ker shaad dikha ker isay gulzar-e-Madinah
Wasail-e-Bakhshish, pp. 360
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه
Comments