Munajat
Thandi Thandi Hawa Haram ki Hay
Thandi thandi hawa Haram ki hay
Baarish Allah kay karam ki hay
Ya Ilahi! Gham-e-Madinah day
Iltija Mustafa kay gham ki hay
Qalb-e-muzter ki laaj rakh Maula
Yeh sada mayri chashm-e-nam ki hay
Aafataun say bacha lay Ya Allah
Mujh pay yalghar ranj-o-gham ki hay
Bigri taqdeer abhi sanwer [سنور] jaye
Dayr ik jumbish-e-qalam ki hay
Bakhsh day ab to mujh ko Ya Allah
Yeh Du’a Tujh say chashm-e-nam ki hay
Kash! Her saal Hajj karay ‘Attar
‘Arz badkaar per karam ki hay
Wasail-e-Bakhshish, pp. 140
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه
Na’at
Woh Sarwar-e-Kishwar-e-Risalat Jo ‘Arsh Per Jalwah-ger Huway Thay
Woh Sarwar-e-Kishwar-e-risalat jo ‘Arsh per jalwah-ger huway thay
Na`ay niralay tarab kay saaman [ساماں] Arab kay mehman kay liye thay
Wahan falak per yahan zameen mayn, rachi thi shadi machi thi dhoomayn
Udher say anwaar hanstay aatay, idher say nafhaat uth rahay thay
Khuda hi day sabr jan-e-pur gham, dikha`oon kyun ker tujhay woh ‘aalam
Jab un ko jhurmat mayn lay kay qudsi, jinan [جِناں] ka dulha bana rahay thay
Namaz-e-Aqsa mayn tha yehi sirr [سِرّ], ‘iyaan ho ma’na-e-awwal aakhir
Kay dast-bastah hayn peechhay haazir, jo saltanat aagay ker gaye thay
Khuda ki qudrat kay Chand [چاند] haq kay, karoron manzil mayn jalwah ker kay
Abhi na taaron ki chha`on [چھاؤں] badli, kay noor kay terkay [تڑکے] aa liye thay
Nabi-e-Rahmat Shafi’-e-Ummat! Raza pay Lillah [للہ] ho ‘inayat
Isay bhi in khal’aton [خلعتوں] say hissah, jo khaas rahmat kay waan [واں] batay thay
Sana-e-Sarkar hay wazifah, qubool-e-Sarkar hay tamanna
Na sha’iri [شاعری] ki hawas na perwa, ravee [رَوِی] thi kya kaysay qafiye [قافیے] thay
Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 229
By: Imam of Ahl-us-Sunnah, Imam Ahmad Raza Khanرحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ ٰ
Manqabat
Apnay Qadmaun mayn Bula Khuwajah Piya Khuwajah Piya
Apnay qadmaun mayn bula Khuwajah piya Khuwajah piya
Aur jalwah bhi dikha Khuwajah piya Khuwajah piya
Ya Mu’een-ad-Deen [مُعِینَ الدِّین] Ajmayri! Karam ki bheek do
Az pa`ay Ghaus-o-Raza Khuwajah piya Khuwajah piya
Tayri ulfat mayn jiyoon tayri mahabbat mayn maroon [مروں]
Ho karam aysa Shaha! Khuwajah piya Khuwajah piya
Dushmano mayn hoon ghira, Siddeeq ka sadqah bacha
Al-madad Khuwajah piya Khuwajah piya Khuwajah piya
Apni manzil say kabhi bhi woh bhatak sakta nahin
Jis kay tum ho rahnuma Khuwajah piya Khuwajah piya
Khatimah bil-khayr ho meethay Madinay mayn mayra
Hath utha ker, ker Du’a Khuwajah piya Khuwajah piya
Aik zarrah ho ‘ata, ‘Attar kay ho jaye ga
Khuwajah! Ghar bhar ka bhala Khuwajah piya Khuwajah piya
Wasail-e-Bakhshish, pp. 536
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه
Comments