Saying of the Beloved Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم: Whoever recites Salat upon me 100 times on Friday night and on the day of Friday [from sunset on Thursday to sunset on Friday], Allah عَزَّوَجَلَّ will fulfil 100 of his needs, of which 70 are for the Hereafter and thirty are worldly. (Shu’ab-ul-Iman, vol. 3, pp. 111, Hadees 3035)
Hamd / Munajat
Ya Rab! Phir Auj Per Yeh Hamara Naseeb Ho
Ya Rab! Phir auj per yeh hamara naseeb ho
Soo`ay Madinah phir hamayn jana naseeb ho
Makkah bhi ho naseeb Madinah naseeb ho
Dasht-e-‘Arab naseeb ho sahra naseeb ho
Hajj ka safar phir ay mayray Maula naseeb ho
‘Arafat ka, Mina ka nazarah naseeb ho
Makkay mayn un ki jaa`ay wiladat pay Ya Khuda
Phir chashm-e-ashkbar jamaana naseeb ho
Ker doon mayn kash! Jaaliyon per apni jan fida
Rauzay ka in kay jis ghari jalwah naseeb ho
Hijr-e-Rasool mayn hamayn Ya Rab-e-Mustafa
Ay kash! Phoot phoot kay rona naseeb ho
Attar ki ho haziri her saal Ya Khuda
Aakhir ko Taybah mayn isay merna naseeb ho
Wasail-e-Bakhshish, pp. 89
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat
Comments