Khuda nay jis kay sar par taj rakha apni rahmat ka
Durood us par ho woh hakim bana mulk-e-risalat ka
Woh maahi kufr-o-zulmat shirk-o-bid’at-o-zalalat ka
Woh hafiz apni millat ka woh Nasir apni Ummat ka
Asar kya ho sakay ga mahr-e-mahshar ki hararat ka
Hamaray sar pay hoga shamiyanah un ki rahmat ka
Hamayn bhi sath lay lo Qafilah walo zara thehro
Bahut Muddat say arman hay Madinay ki ziyarat ka
Mayri ankhayn Madinay ki ziyarat ko tarasti hayn
Chamak jaye Ilahi ab to tara mayri qismat ka
Mayn samjhon ga huwa Jannat mayn dakhil maut say pehlay
Nazar aaye ga jis den sabz gumbad un ki turbat ka
Dikha de fayz-e-ustad-e-hasan huzzaar-e-mahfil ko
Jameel-e-qaadiri phir ho bayan pur lutf midhat ka
By: Maddah-ul-Habeeb Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَلَيْه
(Qabalah-e-Bakhshish, pp. 38)
Comments