Hamd / Munajat | Na’at / Istighaasah | Kalam

اَلۡحَمۡدُ  لِلّٰہِ رَبِّ الۡعٰلَـمِیۡنَ وَ الصَّلٰـوۃُ وَ السَّـلَامُ عَلٰی سَـیِّدِ الۡمُرۡ سَلِیۡنَ

اَمَّا بَـعۡدُ فَاَعُـوۡذُ بِا للّٰہِ مِنَ الشَّـیۡطٰنِ الرَّ جِیۡمِ ؕ بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّ حۡمٰنِ الرَّ حِیۡمِ ؕ

Saying of the Beloved Rasool صَلَّى اللّٰہُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم: Whoever recites Salat upon me three times in a day and three times in the night showing devotion and affection towards me, it is upon the mercy of Allah عَزَّوَجَلَّ to forgive the sins he committed during that day and night. (Al-Mu’jam-ul-Kabeer, vol. 18, pp. 362, Hadees 928)

Hamd / Munajat

Ya Khuda! Hajj Pay Bula aa kay Mayn Ka’bah Daykhoon

Ya Khuda! Hajj pay bula aa kay mayn Ka’bah daykhoon

Kash! Aik baar mayn phir meetha Madinah daykhoon

Phir muyassar ho mujhay kash wuqoof-e-‘Arafat

Jalwah mayn Muzdalifah aur Mina ka daykhoon

Jhoom ker khoob karoon Khana-e-Ka’bah ka Tawaf

Phir Madinay ko chaloon Gumbad-e-Khazra daykhoon

Sabz Gumbad ka haseen jalwah dikha day Ya Rab!

Masjid-e-Nabawi ka pur-noor manarah daykhoon

Choom loon kash! Nigahaun say sunehri jaali

Ashkbar ankhaun say Mimber ka bhi jalwah daykhoon

Tayray ihsaan karoron hayn, ho yeh bhi ihsaan

Ya Khuda naz’a mayn jalwah mayn Nabi ka daykhoon

Dor ker qadmaun mayn ‘Attar giroon mayn us dam

Hashr mayn jis ghari Sarkar ko aata daykhoon

Wasail-e-Bakhshish, pp. 260

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat



Share

Hamd / Munajat | Na’at / Istighaasah | Kalam

Na’at / Istighaasah

Chamak Tujh say Paatay hayn Sab Paanay Walay

Chamak tujh say paatay hayn sab paanay walay

Mayra dil bhi chamka day chamkanay walay

Barasta nahin daykh ker abr-e-rahmat

Badon per bhi bersa day bersanay walay

Madinay kay khittay Khuda tujh ko rakhay

Gharibon faqeeron kay tehranay walay

Tu zindah hay Wallah tu zindah hay Wallah

Mayray chashm-e-‘aalam say chhup jaanay walay

Mayn mujrim hoon Aqa mujhay sath lay lo

Kay rastay mayn hayn ja-baja thaanay walay

Haram ki zameen aur qadam rakh kay chalna

Aray sar ka mauqa’ hay O jaanay walay

Raza Nafs dushman hay dam mayn na aana

Kahan tum nay daykhay hayn chandranay walay

Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 158

By: Imam of Ahl-us-Sunnah, Imam Ahmad Raza Khan


Manqabat

Ziya Peer-o-Murshid Mayray Rahnuma hayn

Ziya peer-o-murshid mayray rahnuma hayn

Suroor-e-dil-o-jan mayray dilruba hayn

Kali hayn gulistan-e-Ghaus-ul-Wara ki

Yeh bagh-e-Raza kay gul-e-khushnuma hayn

Sahara hayn baykas ka, dukhyon kay waali

Sakha kay hayn makhzan to kaan-e-‘ata hayn

Khuda ki mahabbat say sarshaar hayn woh

Dil-o-jan say Mustafa per fida hayn

Tasawwur jamaoon to maujood paoon

Karoon band ankhayn to jalwah-numa hayn

Na kyun Ahl-e-Sunnat karayn naz un per

Kay woh naa`ib-e-Ghaus-o-Ahmad Raza hayn

Munawwar karayn qalb-e-‘Attar ko bhi

Shaha aap Deen-e-mubeen ki Ziya hayn

Wasail-e-Bakhshish, pp. 564

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat


Share

Articles

Comments


Security Code