Hamd, Na’at, Kalam

Hamd/Munajat

Fikr Asfal [فکر اَسْفَل] hay mayri martaba A’la Tayra

Fikr Asfal [فکر اَسْفَل] hay mayri martaba A’la Tayra

Wasf kiya khak likhay khak ka putla Tayra

Her jagah zikr hay ay wahid-o-yakta Tayra

Kon si bazm mayn roshan nahin ikka Tayra

Kheerah karta hay nigahaun ko ujala Tayra

Kijiye kon si ankhaun say nazarah Tayra

Hayn tayray naam say aabadi-o-sahra abad

Shehar mayn zikr Tayra dasht mayn charcha Tayra

Bay-Nawa muflis-o-muhtaaj-o-gada kon keh mayn

Sahib-e-jood-o-karam wasf hay kis ka Tayra

Itni nisbat bhi mujhay donon jahan mayn bas hay

Tu mayra Maalik-o-Maula hay mayn bandah Tayra

Ab jamata hay Hasan us ki gali mayn bistar

Khuburiyyon ka jo mahboob hay piyara Tayra

(Zauq-e-Na’at, pp. 19)

By: Brother of A’la Hadrat, Maulana Hasan Raza Khan رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَـلَيْه

 


Share

Hamd, Na’at, Kalam

Na’at/Istighasah

Muhammad Mustafa Noor-e-Khuda Naam-e-Khuda tum ho

Muhammad Mustafa Noor-e-Khuda Naam-e-Khuda tum ho

Shah-e-Khayr-ul-Wara Shan-e-Khuda صَلِّ عَلٰی tum ho

Ghareebon dard mandon ki dawa tum ho Du’a tum ho

Faqeeron baynawa’un ki sada tum ho nida tum ho

Hamaray Malja-o-mawa hamara aasra tum ho

Thikana bay thikanon ka shah-e-her dausara tum ho

Ghareebon ki madad bay bas ka bas ruhi fida tum ho

Sahara bay saharon ka hamara aasra tum ho

Haseenon mayn tumhin tum ho Nabiyyon mayn tumhin tum ho

Keh Mahboob-e-Khuda tum ho Nabi-ul-Anbiya tum ho

Woh la-saani ho tum Aaqa nahin saani koi jis ka

Agar hay dusra koi tu apna dusra tum ho

اَنَا مِنْ حَامِد و حَامِدْ رضَا مِنِّی kay jalwon say

بِحَمْدِ اللّٰه Raza Hamid hayn aur Hamid Raza tum ho

(Biyaz-e-Pak, pp. 13)

By: Hujja-tul-Islam, Maulana Hamid Raza Khan رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَـلَيْه

Kalam

Talab ka munh tou kis qabil hay Ya Ghaus

Talab ka munh tou kis qabil hay Ya Ghaus

Magar tayra karam kamil hay Ya Ghaus

Duha’ie Ya Muhaiyyudin [مُحِیُّ الدِّین] Duha’ie

Bala Islam par nazil hay Ya Ghaus

Khudara Na-Khuda! aa day sahara

Hawa Bigri bhanwar ha`il hay Ya Ghaus

Ghayura! apni ghayrat ka tasadduq

Wohi kar jo tayray qabil hay Ya Ghaus

Khudara marham-e-khaak-e-Jigar day

Jigar zakhmi hay dil Gha`il hay Ya Ghaus

Tu quwwat day mayn tanha kaam bisiyar

Badan kamzoor dil kahil hay Ya Ghaus

Raza ka khatimah bil-khayr hoga

Tayri rahmat agar shamil hay Ya Ghaus

 

Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 261

By: Imam-e-Ahl-e-Sunnat, Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَـلَيْه


Share

Articles

Comments


Security Code