Hamaray dil kay aainah mayn hay naqshah Muhammad ka

اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ وَ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلٰی سَیِّدِ الْمُرْسَلِیْنَ ط

اَمَّا بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللّٰہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ ط بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم ط

The Beloved Prophet صَلَّى الـلّٰـهُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم said:

The one who recited the Quran, praised Allah Almighty and sent Salat upon the Prophet (صَلَّى الـلّٰـهُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم), and also sought forgiveness from his Lord, he has sought goodness from its place. (Shu’ab-ul-Iman, vol. 2, p. 373, Hadees 2048)

Na’t/Istighaasah

Hamaray dil kay aainah mayn hay naqshah Muhammad ka

Hamaray dil kay aainah mayn hay naqshah Muhammad ka

Hamari aankh ki putli mayn hay jalwah Muhammad ka

Ghulaman-e-Muhammad kay siron say baar-e-‘isyan ko

Ura lay jaye ga ik aan mayn jhonka Muhammad ka

Nida hogi ye mahshar mayn gunahgaro na ghabrao

 Woh daykho abr-e-rahmat jhoom kar utha Muhammad ka

Khuda kay samnay payshi huyi jis dam to keh doon ga

Bura hoon ya bhala laykin hoon mayn bandah Muhammad ka

Ilahi iss tan-e-khaaki mayn jab tak jaan baaqi hay

Rahay dil mayn Ahad aur wird-e-labb kalimah Muhammad ka

Nahin mawqoof kuch un ki ‘ata is aik ‘aalam par

Milay ga hashr mayn bhi daykhna sadaqah Muhammad ka

Jameel-e-Qaadiri mushkil hay midhat khatam kar is par

Keh Haq kay ba’d bala sab say hay rutbah Muhammad ka

(Qabalah-e-Bakhshish, p. 54)

Penned by: Maddah-ul-Habib, Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَلَيْه


Share

Hamaray dil kay aainah mayn hay naqshah Muhammad ka

Manqabat

Haath pakra hay to ta hashr nibhana Ya Ghaus

Haath pakra hay to ta hashr nibhana Ya Ghaus

Ab kisi haal mayn daman na churana Ya Ghaus

Apnay hi koochay mayn sarshaar-e-tamanna rakhna

Apnay muhtaaj ko dar dar na phirana Ya Ghaus

Tayray Nana ki sakhawat ki qasam hay tujh ko

Apnay dar say hamayn khaali na phirana Ya Ghaus

Aasteen apni barhana mayri palkon ki taraf

Apnay gham mayn hamayn jab jab bhi rulana Ya Ghaus

Kabhi aankhon mayn kabhi khana-e-dil mayn rehna

Ruh ban kar mayri rag rag mayn samana Ya Ghaus

Nisbat-e-halqah badoshi ka bharam rakh layna

Bahr-e-imdad mayri qabr mayn aana Ya Ghaus

Kisi manjdhaar say Arshad ki sada aati hay

Mayri kashti ko tum hi paar lagana Ya Ghaus

(Izhar-e-‘Aqeedat, p. 75)

Penned by: ‘Allamah Maulana Arshad-ul-Qaadiri رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَلَيْه


Share

Articles

Comments


Security Code