Allah koi Hajj ka Sabab Ab to Bana Day/ Sarwar Kahoon kay Maalik-o-Maula Kahoon Tujhay/ Hamaray Aqa Hamaray Maula Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Hamd / Munajat

Allah koi Hajj ka Sabab Ab to Bana Day

Allah koi Hajj ka Sabab ab to bana day

Jalwah mujhay phir Gumbad-e-Khazra ka dikha day

Ya Rab! Mayn Tayray khauf say rota rahun her dam

Deewanah Shahanshah-e-Madinah ka bana day

Jab Na’at sunu jhoom uthoon ‘ishq-e-Nabi mayn

Aysa mujhay mastanah Muhammad ka bana day

Sakraat mayn ger roo`ay Muhammad per nazar ho

Her maut ka jhatka bhi mujhay phir to maza day

Uff Hashr ki germi bhi hay aur piyas bala ki

Ay Saqi-e-Kawsar mujhay ik jam pila day

Allah! Mujhay sauz-o-gudaaz aysa ‘ata ker

Terpa day bayan Na’at-e-Nabi mujh ko rula day

‘Attar hoon mayn un ka gada ab to tawajjah

Bas janib-e-Shahaan-e-Jahan mayri bala day

Wasail-e-Bakhshish, pp. 120

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat



Share

Allah koi Hajj ka Sabab Ab to Bana Day/ Sarwar Kahoon kay Maalik-o-Maula Kahoon Tujhay/ Hamaray Aqa Hamaray Maula Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Na’at / Istighaasah

Sarwar Kahoon kay Maalik-o-Maula Kahoon Tujhay

Sarwar kahoon kay Maalik-o-Maula kahoon tujhay

Bagh-e-Khaleel ka gul-e-zayba kahoon tujhay

Subh-e-watan pay sham-e-ghareeban ko doon sharaf

Baykas nawaz gaysu`on wala kahoon tujhay

Allah ray tayray jism-e-munawwar ki taabishayn

Ay jan-e-jan mayn jan-e-tajallah kahoon tujhay

Mujrim hoon apnay ‘afw ka saaman karoon Shaha

Ya’ni Shafi’ rauz-e-Jaza ka kahoon tujhay

Tayray tu wasf ‘ayb-e-tanaahi say hayn baree

Hayran hoon mayray Shah mayn kya kya kahoon tujhay

Keh lay gi sab kuch un kay sana-khuwan ki khamoshi

Chup ho raha hay keh kay mayn kya kya kahoon tujhay

Laykin Raza nay khatm-e-sukhan is pay ker diya

Khaliq ka bandah khalq ka Aqa kahoon tujhay

 

Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 174

By: Imam of Ahl-us-Sunnah, Imam Ahmad Raza Khan



Share

Allah koi Hajj ka Sabab Ab to Bana Day/ Sarwar Kahoon kay Maalik-o-Maula Kahoon Tujhay/ Hamaray Aqa Hamaray Maula Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Kalam

Hamaray Aqa Hamaray Maula Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Hamaray Aqa hamaray Maula Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Hamaray malja hamaray maawa Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Zamanay bhar nay zamanah bhar mayn bahut tajassus kiya wa-laykin

Mila na koi Imam tum sa Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Tumharay aagay tamam ‘aalam na kyun karay zaanu`ey adab kham

Kay payshwayan-e-Deen nay maana Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Na kyun karayn naaz Ahl-e-Sunnat kay tum say chamka naseeb-e-Ummat

Siraaj-e-Ummat mila jo tum sa Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Khuda nay tujh ko woh dee hay rif’at kay tayra mansoob bhi hay marfu’

Tayri izafat mayn rafa’ paaya Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Siraaj tu hay baghayr tayray jo koi samjhay Hadees-o-Quran

Phiray bhatakta na paa`ay rasta Imam-e-A’zam Abu Hanifah

Khabar lay ay dastgeer-e-Ummat hay Saalik-e-bay-khabar pay shiddat

Woh tayra ho ker phiray bhatakta Imam-e-A’zam Abu Hanifah

 

Deewan-e-Saalik, pp. 35

By: Hakeem-ul-Ummat, Mufti Ahmad Yar Khan


Share

Articles

Comments


Security Code