Ariz-e-shams-o-qamar say bhi hay anwar ayriyan

اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ وَ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلٰی سَیِّدِ الْمُرْسَلِیْنَ ط

اَمَّا بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللّٰہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ ط  بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم ط

 

The Beloved Prophet صَلَّى الـلّٰـهُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم said: Adorn your gatherings by sending salutations upon me, as your sending of salutations will be a light for you on the Day of Judgement. (Firdaus-ul-Akhbar, vol. 1, p. 422, Hadees 3149)

Na’at/ Istighaasah

‘Ariz-e-shams-o-qamar say bhi hayn anwar ayriyan

‘Ariz-e-shams-o-qamar say bhi hayn anwar ayriyan
Arsh ki aankhon kay taaray hayn woh khushtar ayriyan

Ja-baja parto figan hayn aasman per ayriyan
Din ko hayn khursheed shab ko mah-o-akhtar ayriyan

Un ka mangta paun say thukraday woh dunya ka taj
Jis ki khaatir mar ga`ay mun’am ragar kar ayriyan

Haey us patthar say is seenah ki qismat phauriye
Bay-takalluf jis kay dil mayn yun karayn ghar ayriyan

Taj e Ruh-ul-Quds kay moti jisay sajdah karayn
Rakhti hayn
وَالله! woh pakeezah gohar ayriyan

Aik thaukar mayn Uhud ka zalzalah jata raha
Rakhti hayn kitna waqar
اَللهُ أَكْبَر! ayriyan

Aye Raza! Tufan-e-mahshar kay talatum say na dar
Shaad ho! Hayn kishti-e-ummat ko langar ayriyan

Penned by: Imam-e-Ahl-e-Sunnat Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَلَيْه
(Hadaiq-e-Bakhshish, p. 86)


Share

Ariz-e-shams-o-qamar say bhi hay anwar ayriyan

Manqabat

Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

Dil mayn basa hay qamat-e-zayba Haami-e-Sunnat A’la Hazrat
Chashm-e-tamanna mahw-e-sarapa Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

Kis say bayan haun tayray manaqib kis ki samajh mayn a`ayn maratib
Shan hay tayri arfa’-o-a’la Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

Malfuzaat Ahkam-e-Shari’at Maktubaat Bahar-e-Shari’at
Pand-o-nasaa’ih tayray wasaya Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

Qaadiriyon ki aankh ka tara Razawiyon ka malja mawa
Ahl-e-Sunan kay ghar ka ujala Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

Mana ‘Arab ne tujh ko yaganah gaya ‘Arab nay tayra taranah
Manay hay tujh ko saara zamaana Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

Waqt-e-Safar do baj ker artees hay tareekh Safar ki pachchees
Jumu’ah kay din dunya say sidhara Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

فَانِی فِی الـلّٰـه بَاقِی بِا لـلّٰـه chashm-e-karam Ayyub peh لِلهِ
Murshid-e-barhaq qibla-o-ka’bah Haami-e-Sunnat A’la Hazrat

Penned by: Maulana Sayyid Ayyub Ali Razavi رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَلَيْه
(Shamaaim-e-Bakhshish, p. 30)

 


Share

Articles

Comments


Security Code