Hamd, Na’at, Kalam

Hamd / Munajat

Fikr Asfal Hay Mayri Martabah A’la Tayra

Fikr asfal [اَسْفَل] hay mayri martabah a’la Tayra

Wasf kya khaak likhay, khaak ka putla Tayra

Her jagah zikr hay ay Wahid-o-Yakta Tayra

Kaun si bazm mayn roshan nahin ikka Tayra

Kheerah [خِیْرَہ] kerta hay nigahaun ko ujala Tayra

Ki-jiye kaun si ankhaun say nazarah Tayra

Hayn Tayray naam say aabadi-o-sahra aabad

Shahar mayn zikr Tayra dasht mayn chercha Tayra

Bay-nawa muflis-o-mohtaj-o-gada kaun, kay mayn

Sahib-e-Jood-o-Karam wasf hay kis ka, Tayra

Itni nisbat bhi mujhay dauno jahan mayn bas hay

Tu mayra Maalik-o-Maula hay mayn bandah Tayra

Ab jamata hay Hasan us ki gali [گَلِی] mayn bister

Khuburuyon [خُوبرُویوں] ka jo Mahboob hay piyara Tayra

Zauq-e-Na’at, pp. 19

By: Brother of A’la Hadrat, Maulana Hasan Raza Khan رَحْمَةُ اللّٰەِ عَلَيْه


Share

Hamd, Na’at, Kalam

Na’at / Istighaasah

Dil Mayn Ho Mayray Ja`ay Muhammad [جَائے مُحَمَّد]

Dil mayn ho mayray ja`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Ser mayn rahay soda`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Jinn-o-malaik hoor-o-ghilmaan, sab hayn naam per in kay qurban

Kaun nahin jo-ya`ay Muhammad [جویائے مُحَمَّد] صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Haq nay inhayn bay-misl banaya, perta zameen per kyun ker sayah

Noor-e-Khuda a’za`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Taj-e-Faterda [فَتَرْضٰی] ser per rakh ker, Haq nay kaha kay ba-rauz-e-Mahshar

Chaahay jisay bakhsha`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Jab ghabrayain gey ‘aasi der ker, rahmat-e-Haq yeh kahay gi berh ker

Chayn karayn shayda`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Khauf hay ger kuch rauz-e-Jaza ka, dil mayn jama ker naam Khuda ka

Wird karo asma`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Hay yeh Du’a`ay Jameel-e-muzter, Hashr kay din ay daawer-e-Mahshar

Ser ho mayra aur paa`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Qabalah-e-Bakhshish, pp. 91

By: Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi رَحْمَةُ اللّٰەِ عَلَيْه

Kalam

Phir Bula Karbala, Ya Shah-e-Karbala

Phir bula Karbala, Ya Shah-e-Karbala

Apna rauzah dikha, Ya Shah-e-Karbala

Mayn nay choomi nahin, Karbala ki zameen

Aik ‘arsah huwa, Ya Shah-e-Karbala

Az-pa`ay chaar yar, ay Shah-e-Zee-Waqar

Apna shayda bana, Ya Shah-e-Karbala

Ibn-e-Shah-e-Arab! Marz-e-‘isyan say ab

Day do mujh ko shifa, Ya Shah-e-Karbala

Dil ko mil jaye chayn, al-madad Ya Hussain

Hoon bohat ghamzadah, Ya Shah-e-Karbala

Ho muyassar Imam, ab shahadat ka jaam

Ker do Haq say Du’a, Ya Shah-e-Karbala

Janib-e-Karbala, kash! ‘Attar ka

Chal paray qafilah, Ya Shah-e-Karbala

Wasail-e-Bakhshish, pp. 528

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه


Share

Articles

Comments


Security Code