Na’at / Istighaasah
Dil Mayn Ho Mayray Ja`ay Muhammad [جَائے مُحَمَّد]
Dil mayn ho mayray ja`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Ser mayn rahay soda`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Jinn-o-malaik hoor-o-ghilmaan, sab hayn naam per in kay
qurban
Kaun nahin jo-ya`ay Muhammad [جویائے مُحَمَّد] صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Haq nay inhayn bay-misl banaya, perta zameen per kyun
ker sayah
Noor-e-Khuda a’za`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Taj-e-Faterda [فَتَرْضٰی] ser per rakh ker, Haq nay kaha kay
ba-rauz-e-Mahshar
Chaahay jisay bakhsha`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Jab ghabrayain gey ‘aasi der ker, rahmat-e-Haq yeh
kahay gi berh ker
Chayn karayn shayda`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Khauf hay ger kuch rauz-e-Jaza ka, dil mayn jama ker
naam Khuda ka
Wird karo asma`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Hay yeh Du’a`ay Jameel-e-muzter, Hashr kay din ay
daawer-e-Mahshar
Ser ho mayra aur paa`ay Muhammad صَلَّى اللّٰەُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم
Qabalah-e-Bakhshish, pp. 91
By: Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi
رَحْمَةُ اللّٰەِ عَلَيْه
Kalam
Phir Bula Karbala, Ya Shah-e-Karbala
Phir bula Karbala, Ya Shah-e-Karbala
Apna rauzah dikha, Ya Shah-e-Karbala
Mayn nay choomi nahin, Karbala ki zameen
Aik ‘arsah huwa, Ya Shah-e-Karbala
Az-pa`ay chaar yar, ay Shah-e-Zee-Waqar
Apna shayda bana, Ya Shah-e-Karbala
Ibn-e-Shah-e-Arab! Marz-e-‘isyan say ab
Day do mujh ko shifa, Ya Shah-e-Karbala
Dil ko mil jaye chayn, al-madad Ya Hussain
Hoon bohat ghamzadah, Ya Shah-e-Karbala
Ho muyassar Imam, ab shahadat ka jaam
Ker do Haq say Du’a, Ya Shah-e-Karbala
Janib-e-Karbala, kash! ‘Attar ka
Chal paray qafilah, Ya Shah-e-Karbala
Wasail-e-Bakhshish, pp. 528
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat
دَامَتْ بَرَكَاتُـهُمُ الْعَالِيَـه
Comments