Munajat
‘Amal ka Ho Jazbah ‘Ata Ya Ilahi
‘Amal ka ho jazbah ‘ata Ya Ilahi
Gunahaun say mujh ko bacha Ya Ilahi
Mayn panchaun namazayn perhoon ba-jama’at
Ho taufeeq aysi ‘ata Ya Ilahi
Day shauq-e-tilawat day zauq-e-‘ibadat
Rahun ba-Wudu mayn sada Ya Ilahi
Hamayshah nigahaun ko apni jhuka ker
Karoon khaashi’anah Du’a Ya Ilahi
Libas apna Sunnat say araastah ho
‘Imamah ho sar per saja Ya Ilahi
Ho akhlaq achcha ho kirdar suthra
Mujhay muttaqi Tu bana Ya Ilahi
Ghuseelay mizaaj aur tamaskhur ki khaslat
Say ‘Attar ko Tu bacha Ya Ilahi
Wasail-e-Bakhshish, pp. 102
By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat
Na’at
Sultan-e-Jahan Mahboob-e-Khuda Tayri Shan-o-Shaukat Kya Kehna
Sultan-e-jahan Mahboob-e-Khuda tayri shan-o-shaukat kya kehna
Her shay pay likha hay naam tayra, tayray zikr ki rif’at kya kehna
Hay sar per taj Nubuwwat ka, jaura hay tan [تَن] pay karamat ka
Sehra hay jabeen pay shafa’at ka, Ummat pay hay rahmat kya kehna
Quran kalam-e-Baari hay aur tayri zaban say jaari hay
Kya tayri fasahat piyari hay aur tayri balaghat kya kehna
Baaton say tapakti lazzat hay, ankhaun say barasti rahmat hay
Khutbay say chamakti haybat hay, ay Shah-e-Risalat kya kehna
Ankhaun say kiya derya jaari aur lab pay Du’a piyari piyari
Rau rau kay guzari shab saari, ay Haami-e-Ummat kya kehna
‘Aalam ki bharayn her dam jhauli, khud kha`ayn to bas jau ki roti
Woh shan-e-‘ata-o-sakhawat ki, yeh zuhd-o-qana’at kya kehna
Shohrat hay Jameel itni tayri, yeh sab hay karamat Murshid ki
Kehtay hayn tujhay maddah-e-Nabi sab ahl-e-Sunnat kya kehna
Qabalah-e-Bakhshish, pp. 47
By: Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi
Comments