Mita Day Saari Khata’ayn Mayri Mita Ya Rab/Na Ho Aaram Jis Beemar ko Saaray Zamanay Say/Ambiya ko bhi Ajal Aani Hay

Hamd / Munajat

Mita Day Saari Khata’ayn Mayri Mita Ya Rab

Mita day saari khata`ayn mayri mita Ya Rab

Bana day nayk, bana nayk day bana Ya Rab

Bana day mujh ko Ilahi khuloos ka payker

Qareeb aaye na mayray kabhi riya Ya Rab

Andhayri qabr ka dil say nahin nikalta dar

Karoon ga kya jo Tu naraz ho gaya Ya Rab

Gunahgar hoon, mayn laa`iq-e-Jahannam hoon

Karam say bakhsh day, mujh ko na day saza Ya Rab

Buraiyon pay pashayman hoon, rahm ferma day

Hay Tayray qahar pay haawi Tayri ‘ata Ya Rab

Mayn ker kay taubah palat ker gunah kerta hoon

Haqeeqi taubah ka ker day sharaf ‘ata Ya Rab

Nahin hay naamah-e-‘Attar mayn koi nayki

Faqat hay Tayri hi rahmat ka aasira Ya Rab

Wasail-e-Bakhshish, pp. 78

By: Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat

Share

Mita Day Saari Khata’ayn Mayri Mita Ya Rab/Na Ho Aaram Jis Beemar ko Saaray Zamanay Say/Ambiya ko bhi Ajal Aani Hay

Na Ho Aaram Jis Beemar ko Saaray Zamanay Say

Na ho aaram jis beemar ko saaray zamanay say

Utha lay jaye thori khaak un kay aastanay say

Tumharay dar kay tukron say para palta hay aik ‘aalam

Guzara sab ka hota hay isi mohtaj khaanay say

Shab-e-Asra kay dulha per nichhawer honay wali thi

Nahin to kya gharaz thi itni jaano kay bananay say

Na kyun un ki taraf Allah so so piyar say daykhay

Jo apni ankhayn maltay hayn tumharay aastanay say

Tumharay to woh ihsaan aur yeh na-fermaniyan apni

Hamayn to sharm si aati hay tum ko munh dikhanay say

Zameen thori si day day bahr-e-madfan apnay koochay mayn

Laga day mayray piyaray, mayri matti bhi thikanay say

Na pohanchay un kay qadmaun tak, na kuch husn-e-‘amal hi hay

Hasan kya poochhtay ho, ham gaye guzray zamanay say

Zauq-e-Na’at, pp. 149

By: Brother of A’la Hadrat, Maulana Hasan Raza Khan


Share

Mita Day Saari Khata’ayn Mayri Mita Ya Rab/Na Ho Aaram Jis Beemar ko Saaray Zamanay Say/Ambiya ko bhi Ajal Aani Hay

Kalam

Ambiya ko bhi Ajal Aani Hay

Ambiya ko bhi ajal aani hay

Magar aysi kay faqat aani hay

Phir usi aan kay ba’d un ki hayat

Misl-e-saabiq wohi jismani hay

Ruh to sab ki hay zindah un ka

Jism-e-pur-noor bhi ruhaani hay

Awron ki ruh ho kitni hi lateef

Un kay ajsaam ki kab saani hay

Paoon jis khak pay rakh dayn woh bhi

Ruh hay pak hay noorani hay

Us ki azwaaj ko jaa`iz hay Nikah

Us ka terkah batay jo faani hay

Yeh hayn Hayy [حیّ] abadi in ko Raza

Sidq-e-wa’dah ki qaza maani hay

Hadaiq-e-Bakhshish, pp. 372

By: Imam of Ahl-e-Sunnat, Imam Ahmad Raza Khan


Share

Articles

Comments


Security Code