Tu nay mujh ko hajj pay bulaya, ya Allah Mayri jholi bhar day

اَلۡحَمۡدُ  لِلّٰہِ  رَبِّ  الۡعٰلَـمِیۡنَ    وَ الصَّلٰـوۃُ   وَ  السَّـلَامُ  عَلٰی   سَـیِّدِ  الۡمُرۡ سَلِیۡنَ

اَمَّا   بَـعۡدُ   فَاَعُـوۡذُ    بِا للّٰہِ   مِنَ  الشَّـیۡطٰنِ  الرَّ جِیۡمِ  ؕ بِسۡمِ  اللّٰہِ  الرَّ حۡمٰنِ  الرَّ  حِیۡمِ      ؕ

The Holy Prophet صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّم stated: Indeed, your names are presented to me along with your identity, therefore, recite beautiful (i.e. in best of the words) Salat upon me. (Musannaf Abdur Razzaq, vol. 2, pp. 140, Hadees 3116)

Ya Allah mayri jholi bhar day

Tu nay mujh ko hajj pay bulaya, Ya Allah mayri jholi bhar day

Gird-e-Ka’bah khub phiraya, Ya Allah mayri jholi bhar day

Maula mujh ko nayk bana day, apni ulfat dil mayn basa day

Bahr-e-Safa aur Bahr-e-Marwah, Ya Allah mayri jholi bhar day

Wasitah Nabiyon kay Sarwar ka, wasitah Siddeeq aur Umar ka

Wasitah Usman-o-Haidar ka, Ya Allah mayri jholi bhar day

Mayn hon bandah tu hay Maula, Tu hay Qaadir mayn nakarah

Mayn mangta tu daynay wala, Ya Allah mayri jholi bhar day

Day husn-e-akhlaq ki daulat, kar day ‘ata ikhlas ki na’mat

Mujh ko khazanah day taqwa ka, Ya Allah mayri jholi bhar day

Bakhsh day mayri sari khatayn, khol day mujh par apni ‘ata`in

Barsa day rahmat ki barkha[1], Ya Allah mayri jholi bhar day

Jannat mayn Aqa ka parosi, ban jaey attar Ilahi

Maula az paey Qutb-e-Madinah, Ya Allah mayri jholi bhar day

Wasail-e-Bakhshish Murammam, pp. 121

By Shaykh-e-Tareeqat Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ



[1] Rain


Share

Tu nay mujh ko hajj pay bulaya, ya Allah Mayri jholi bhar day

Aflaak say ooncha hay aiwan Muhammad ka

Aflaak[1] say ooncha hay aiwan[2] Muhammad ka

Makhlooq-e-Ilahi hay saman Muhammad ka

Patay hayn sabhi sadaqah un kay dar-e-aqdas say

Har zarrah-e-‘aalam hay mehman Muhammad ka

Hoti hay har ik na’mat taqseem Madinay say

Konain mayn jaari hay Faizan Muhammad ka

Daytay hayn Malak[3] pehra Sarkar kay Rauzay par

Jibreel-e-Mu’azzam hay darban[4] Muhammad ka

Dunya ki sabhi batayn mit jayn mayray dil say

Ho wird-e-zaban kalimah har aan Muhammad ka

Jab madah-o-sana Haq nay Quran mayn farmai

Kiya munh hay jo wasif[5] ho insan Muhammad ka

Taqdeer jameel apni shahon say rahay barh kar

Sag-e-apna banaye gar darban Muhammad ka

Qabala-e-Bakhshish, pp. 74

By Maddah-ul-Habib Maulana Jameel-ur-Rahman Qaadiri Razavi



[1] Skies

[2] Palace, house

[3] Angels

[4] Guardian

[5] The one who praises


Share

Articles

Comments


Security Code