اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ وَ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلٰی سَیِّدِ الْمُرْسَلِیْنَ ط
اَمَّا بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللّٰہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ ط بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم ط
The Beloved Prophet صَلَّى الـلّٰـهُ عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم said: Adorn your gatherings by sending Salat upon me, as your sending of Salat will be a Noor [i.e. light] for you on the Day of Judgement. (Firdaus-ul-Akhbar, vol. 1, p. 422, Hadees 3149)
Hamd
Sab ka payda kernay wala
Sab ka payda kernay wala, mayra Maula mayra Maula
Sab say afzal sab say A’la, mayra Maula mayra Maula
Jag ka Khaliq sab ka Maalik, woh hi baqi, baqi haalik
Sachcha Maalik sachcha Aaqa, mayra Maula mayra Maula
Sab ko wohi day hay rauzi, ni’mat us ki dawlat us ki
Raaziq data paalan hara, mayra Maula mayra Maula
Ham sab us kay ‘aajiz banday, woh hi paalay wohi hi maray
Khoobi wala sab say niyaara, mayra Maula mayra Maula
Awwal Aakhir Gha`ib Haazir, us ko roshan us pay zaahir
‘Aalim daana waaqif kull ka, mayra Maula mayra Maula
‘Izzat wala, hikmat wala, ni’mat wala, rahmat wala
Mayra piyara mayra Aaqa, mayra Maula mayra Maula
Taa’at-e-Sajdah us ka Haq hay, us ko pujo wohi Rabb hay
Allah Allah Allah Allah mayra Maula mayra Maula
(Kitab-ul-‘Aqaaid, p. 13)
By: Sadr-ul-Afaadil Sayyid Muhammad Na’eem-ud-Deen Muradabadi رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَلَيْه
Comments